sab rang uDe hain tan-man ke kis munh se gaun phag sakhi
sab rang uDe hain tan-man ke kis munh se gaun phag sakhi
Ashu Jha 'Naqqash'
MORE BYAshu Jha 'Naqqash'
sab rang uḌe haiñ tan-man ke kis muñh se gā.ūñ phaag sakhī
maiñ tose piir kahūñ man kī maiñ sājan paayo ghaag sakhī
pathrā.ī āñkhoñ se nis-din maiñ baaT nihārūñ pirītam kī
pāthar se badrā bah nikle par badle nāhīñ bhaag sakhī
jo maiñ kesariyā maañg bharūñ vo bhagvā rang chaḌhā leve
jo maiñ pālūñ anurāg sakhī vo apnāve bairāg sakhī
us kī bansī se kah do ki duujī bastī meñ taan bhare
jab mohe nahīñ chheḌat mohan maiñ kyuuñ kar chheḌūñ raag sakhī
phāgun kī mast bayār aa.ī aamoñ ke pahle baur aa.e
mere hiy meñ Dol ga.e sau sau baurā.e kaale naag sakhī
mere do nainan shringār bhare aur us ke haiñ añgār bhare
mere man meñ koyal kuuke hai aur us ke man meñ kaag sakhī
maiñ us kī priit meñ jag bisrī vo merī sudh bhī let nahīñ
'naqqāsh' se kahiyo aave to dho kar hī aave daag sakhī
sab rang uDe hain tan-man ke kis munh se gaun phag sakhi
main tose pir kahun man ki main sajan payo ghag sakhi
pathrai aankhon se nis-din main baT nihaarun piritam ki
pathar se badra bah nikle par badle nahin bhag sakhi
jo main kesariya mang bharun wo bhagwa rang chaDha lewe
jo main palun anurag sakhi wo apnawe bairag sakhi
us ki bansi se kah do ki duji basti mein tan bhare
jab mohe nahin chheDat mohan main kyun kar chheDun rag sakhi
phagun ki mast bayar aai aamon ke pahle baur aae
mere hiy mein Dol gae sau sau baurae kale nag sakhi
mere do nainan shringar bhare aur us ke hain angar bhare
mere man mein koyal kuke hai aur us ke man mein kag sakhi
main us ki prit mein jag bisri wo meri sudh bhi let nahin
'naqqash' se kahiyo aawe to dho kar hi aawe dag sakhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.