sahaare ke liye tinka bahut hai
sahaare ke liye tinka bahut hai
Swami Shyamanand Saraswati Roshan
MORE BYSwami Shyamanand Saraswati Roshan
sahāre ke liye tinkā bahut hai
mohabbat kā to ik lamha bahut hai
bhale hī muñh se ham kuchh bhī na boleñ
magar dil se tujhe chāhā bahut hai
bahut hī kam tujhe dekhā hai ham ne
magar sach hai tujhe sochā bahut hai
sunegā vo agar dil se kahoge
use ik baar hī kahnā bahut hai
bahut kuchh jānñā baaqī hai 'raushan'
yuuñ apne aap ko jaanā bahut hai
sahaare ke liye tinka bahut hai
mohabbat ka to ek lamha bahut hai
bhale hi munh se hum kuchh bhi na bolen
magar dil se tujhe chaha bahut hai
bahut hi kam tujhe dekha hai hum ne
magar sach hai tujhe socha bahut hai
sunega wo agar dil se kahoge
use ek bar hi kahna bahut hai
bahut kuchh jaanna baqi hai 'raushan'
yun apne aap ko jaana bahut hai
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 43)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.