sahl ho jae rah thoDi si
sahl ho jaa.e raah thoḌī sī
mujh pe kar de nigāh thoḌī sī
dil se pūchhā bhulā diyā us ko
bolā ab bhī hai chaah thoḌī sī
dard bas kāmyāb hai itnā
zindagī hai tabāh thoḌī sī
tishnagī kā surūr kaafī hai
kyuuñ piyeñ ḳhvāh maḳhvāh ThoḌī sī
shā.erī ke liye zarūrī hai
aah thoḌī karāh thoḌī sī
sahl ho jae rah thoDi si
mujh pe kar de nigah thoDi si
dil se puchha bhula diya us ko
bola ab bhi hai chah thoDi si
dard bas kaamyab hai itna
zindagi hai tabah thoDi si
tishnagi ka surur kafi hai
kyun piyen KHwah maKHwah ThoDi si
shaeri ke liye zaruri hai
aah thoDi karah thoDi si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.