samundar par kar ke ab parinde ghar nahin aate
samundar paar kar ke ab parinde ghar nahīñ aate
agar vāpas bhī aate haiñ to le kar par nahīñ aate
mirī āñkhoñ kī donoñ khiḌkiyāñ ḳhāmosh rahtī haiñ
ki ab un se suḳhan karne mire manzar nahīñ aate
sunahrī dhuup kī chādar vo puure chāñd kī rāteñ
ham un meñ qaid rahte haiñ kabhī bāhar nahīñ aate
mire āñgan kī chhatrī ke kabūtar ḳhuub haiñ lekin
chale jaate haiñ vāpas to kabhī muḌ kar nahīñ aate
tumhāre shahr ke mausam hamāre shahr meñ 'rāhī'
sunahrī dhuup kī le kar kabhī chādar nahīñ aate
samundar par kar ke ab parinde ghar nahin aate
agar wapas bhi aate hain to le kar par nahin aate
meri aankhon ki donon khiDkiyan KHamosh rahti hain
ki ab un se suKHan karne mere manzar nahin aate
sunahri dhup ki chadar wo pure chand ki raaten
hum un mein qaid rahte hain kabhi bahar nahin aate
mere aangan ki chhatri ke kabutar KHub hain lekin
chale jate hain wapas to kabhi muD kar nahin aate
tumhaare shahr ke mausam hamare shahr mein 'rahi'
sunahri dhup ki le kar kabhi chadar nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.