sarasar bhul karte hain unhen jo pyar karte hain
sarāsar bhuul karte haiñ unheñ jo pyaar karte haiñ
burā.ī kar rahe haiñ aur asvīkār karte haiñ
unheñ aukāsh hī itnā kahāñ hai mujh se milne kā
kisī se pūchh lete haiñ yahī upkār karte haiñ
jo ūñche chaḌh ke chalte haiñ vo nīche dekhte har dam
parfullit varchh kī ye bhūmī kusūmāgār karte haiñ
na itnā phūliye taruvar suphal korī kalī le kar
binā makrañg ke madhūkar nahīñ ganjār karte haiñ
'parsād' un ko na bholū tum tumhārā jo ki paremī hai
na sajjan chhoḌte us ko jise svīkār karte haiñ
sarasar bhul karte hain unhen jo pyar karte hain
burai kar rahe hain aur aswikar karte hain
unhen aukash hi itna kahan hai mujh se milne ka
kisi se puchh lete hain yahi upkar karte hain
jo unche chaDh ke chalte hain wo niche dekhte har dam
parfullit warchh ki ye bhumi kusumagar karte hain
na itna phuliye taruwar suphal kori kali le kar
bina makrang ke madhukar nahin ganjar karte hain
'parsad' un ko na bholu tum tumhaara jo ki paremi hai
na sajjan chhoDte us ko jise swikar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.