shahr ki galiyon se jab qaidi guzare jaenge
shahr kī galiyoñ se jab qaidī guzāre jā.eñge
adh-khulī kuchh khiḌkiyoñ se phuul maare jā.eñge
rokiye rangīñ-mizājī ab amīr-e-shahr kī
varna guldastoñ kī ḳhātir sar utāre jā.eñge
but banānā hai hunar to but sajānā bhī hai fan
kar ke ghāyal uñgliyāñ gesū sañvāre jā.eñge
shaah kā farmān hai shāhī musavvir ke liye
kāġhazoñ par ḳhush-numā chehre ubhāre jā.eñge
'rāz' taare toḌne vāloñ kā hai ab faisla
marmarīñ burjoñ se ye sūraj utāre jā.eñge
shahr ki galiyon se jab qaidi guzare jaenge
adh-khuli kuchh khiDkiyon se phul mare jaenge
rokiye rangin-mizaji ab amir-e-shahr ki
warna guldaston ki KHatir sar utare jaenge
but banana hai hunar to but sajaana bhi hai fan
kar ke ghayal ungliyan gesu sanware jaenge
shah ka farman hai shahi musawwir ke liye
kaghazon par KHush-numa chehre ubhaare jaenge
'raaz' tare toDne walon ka hai ab faisla
marmarin burjon se ye suraj utare jaenge
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.