tamam umr main ek ajnabi ke ghar mein raha
tamām umr maiñ ik ajnabī ke ghar meñ rahā
safar na karte hue bhī kisī safar meñ rahā
vo jism hī thā jo bhaTkā kiyā zamāne meñ
hirdai to merā hamesha tirī Dagar meñ rahā
tū DhūñDhtā thā jise jā ke burj-e-bābul meñ
vo shaḳhs to kisī miirā kī chashm-e-tar meñ rahā
vo aur hī the jinheñ thī ḳhabar sitāroñ kī
mirā ye desh to roTī kī hī ḳhabar meñ rahā
hazāroñ ratan the us jauhrī kī jholī meñ
use na kuchh bhī milā jo agar-magar meñ rahā
tamam umr main ek ajnabi ke ghar mein raha
safar na karte hue bhi kisi safar mein raha
wo jism hi tha jo bhaTka kiya zamane mein
hirdai to mera hamesha teri Dagar mein raha
tu DhunDhta tha jise ja ke burj-e-babul mein
wo shaKHs to kisi mera ki chashm-e-tar mein raha
wo aur hi the jinhen thi KHabar sitaron ki
mera ye desh to roTi ki hi KHabar mein raha
hazaron ratan the us jauhri ki jholi mein
use na kuchh bhi mila jo agar-magar mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.