tez tufan hai mahinon se
tez tūfān hai mahīnoñ se
log utreñ kahāñ safīnoñ se
itnā sāmān kyuuñ tabāhī kā
zehn pūchhegā kab zahīnoñ se
qahqahe kar na deñ mujhe pāgal
ḳhud pe royā kahāñ mahīnoñ se
ik sitārā huuñ TuuT jā.ūñgā
dekhte kyā ho dūr-bīnoñ se
vo na jaane kahāñ haiñ kaise haiñ
un ko dekhā nahīñ mahīnoñ se
tiir kyā ḳhaak mārte ho alhaḌ
haath chhūTe the āstīnoñ se
tez tufan hai mahinon se
log utren kahan safinon se
itna saman kyun tabahi ka
zehn puchhega kab zahinon se
qahqahe kar na den mujhe pagal
KHud pe roya kahan mahinon se
ek sitara hun TuT jaunga
dekhte kya ho dur-binon se
wo na jaane kahan hain kaise hain
un ko dekha nahin mahinon se
tir kya KHak marte ho alhaD
hath chhuTe the aastinon se
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.