tere jalwon ne kaisi shart rakh di
tire jalvoñ ne kaisī shart rakh dī
ki ḳhushbū dekhne kī shart rakh dī
guzarnā hai hameñ ab imtihāñ se
chalo tum ne to apnī shart rakh dī
parindoñ kā baserā aur chhatoñ par
tū kyā peḌoñ ne koī shart rakh dī
parindoñ kī uḌāne chhīn leñ aur
hadoñ ko nāpne kī shart rakh dī
sabhī the ektā ke haq meñ lekin
sabhī ne apnī apnī shart rakh dī
tere jalwon ne kaisi shart rakh di
ki KHushbu dekhne ki shart rakh di
guzarna hai hamein ab imtihan se
chalo tum ne to apni shart rakh di
parindon ka basera aur chhaton par
tu kya peDon ne koi shart rakh di
parindon ki uDane chhin len aur
hadon ko napne ki shart rakh di
sabhi the ekta ke haq mein lekin
sabhi ne apni apni shart rakh di
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.