tumhaare zehn mein gar khalbali hai
tumhāre zehn meñ gar khalbalī hai
bahut pur-lutf phir ye zindagī hai
ajab ye daur aayā hai ki jis meñ
ġhalat kuchh bhī nahīñ sab kuchh sahī hai
musalsal tīrgī meñ jī rahe haiñ
ye kaisī raushnī ham ko milī hai
mukammal ḳhud ko jo bhī māntā hai
yaqīñ maan.e bahut us meñ kamī hai
judā tum bhiiḌ se hokar to dekho
alag rāhoñ meñ kitnī dilkashī hai
samundar pī rahā hai har nadī ko
kaho ye hai havas yā tishnagī hai
nahīñ aatī hai 'nīraj' haath jo bhī
har ik vo chiiz lagtī qīmtī hai
tumhaare zehn mein gar khalbali hai
bahut pur-lutf phir ye zindagi hai
ajab ye daur aaya hai ki jis mein
ghalat kuchh bhi nahin sab kuchh sahi hai
musalsal tirgi mein ji rahe hain
ye kaisi raushni hum ko mili hai
mukammal KHud ko jo bhi manta hai
yaqin mane bahut us mein kami hai
juda tum bhiD se hokar to dekho
alag rahon mein kitni dilkashi hai
samundar pi raha hai har nadi ko
kaho ye hai hawas ya tishnagi hai
nahin aati hai 'niraj' hath jo bhi
har ek wo chiz lagti qimti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.