tumhein to apna KHuda manta tha main kal tak
tumheñ to apnā ḳhudā māntā thā maiñ kal tak
tumhārī raa.e meñ achchhā bhalā thā maiñ kal tak
chalo maiñ hosh meñ aayā to ba.ad muddat ke
kahāñ ḳhud apne liye sochtā thā maiñ kal tak
maiñ ho sakūñgā na shāmil tamāsh-bīnoñ meñ
ki ḳhud bhī ek tamāsha rahā thā maiñ kal tak
mujhe ki terī vafā yā jafā se kyā lenā
tū vo nahīñ hai jise chāhtā thā maiñ kal tak
tumhein to apna KHuda manta tha main kal tak
tumhaari rae mein achchha bhala tha main kal tak
chalo main hosh mein aaya to baad muddat ke
kahan KHud apne liye sochta tha main kal tak
main ho sakunga na shamil tamash-binon mein
ki KHud bhi ek tamasha raha tha main kal tak
mujhe ki teri wafa ya jafa se kya lena
tu wo nahin hai jise chahta tha main kal tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.