uske lahje mein itminan bhi tha
us ke lahje meñ itminān bhī thā
aur vo shaḳhs bad-gumān bhī thā
phir mujhe dost kah rahā thā vo
pichhlī bātoñ kā us ko dhyān bhī thā
sab achānak nahīñ huā yaaro
aisā hone kā kuchh gumān bhī thā
dekh sakte the chhū na sakte the
kāñch kā parda darmiyān bhī thā
raat bhar us ke saath rahnā thā
ratjagā bhī thā imtihān bhī thā
aa.iiñ chiḌiyāñ to maiñ ne ye jaanā
mere kamre meñ āsmān aur bhī thā
us ke lahje mein itminan bhi tha
aur wo shaKHs bad-guman bhi tha
phir mujhe dost kah raha tha wo
pichhli baaton ka us ko dhyan bhi tha
sab achanak nahin hua yaro
aisa hone ka kuchh guman bhi tha
dekh sakte the chhu na sakte the
kanch ka parda darmiyan bhi tha
raat bhar us ke sath rahna tha
ratjaga bhi tha imtihan bhi tha
aain chiDiyan to main ne ye jaana
mere kamre mein aasman aur bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.