usne bahti nadi ko rok liya
us ne bahtī nadī ko rok liyā
phir kisī ne usī ko rok liyā
saarā din maiñ na mil sakā us se
chāñd ne dhuup hī ko rok liyā
ek bachche ne maañg lī siipī
ret ne lahr hī ko rok liyā
bholī-bhālī nahīñ rahī ab vo
us ne apnī hañsī ko rok liyā
ajnabiyyat bahut hī pyārī thī
maiñ ne is dostī ko rok liyā
us ne bahti nadi ko rok liya
phir kisi ne usi ko rok liya
sara din main na mil saka us se
chand ne dhup hi ko rok liya
ek bachche ne mang li sipi
ret ne lahr hi ko rok liya
bholi-bhaali nahin rahi ab wo
us ne apni hansi ko rok liya
ajnabiyyat bahut hi pyari thi
main ne is dosti ko rok liya
- Book : Lafz Magazine-August To Octobar-2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.