wo kyun hukm deta hai sipah salar jo Thahra
vo keval hukm detā hai sipah sālār jo Thahrā
maiñ us kī jang laḌtā huuñ maiñ bas hathiyār jo Thahrā
dikhāve kī ye hamdardī tasallī khokhle vaade
mujhe sab jhelne paḌte haiñ maiñ bekār jo Thahrā
tū bhāgam-bhāg meñ is daur kī shāmil huī hī kyuuñ
maiñ kaise saath duuñ terā maiñ kam raftār jo Thahrā
mohabbat dostī chāhat vafā dil aur kavitā se
mire is daur ko parhez hai bīmār jo Thahrā
ghuTan lagtī na yuuñ kamre meñ ik do khiḌkiyāñ hotīñ
maiñ keval soch saktā huuñ kirāya-dār jo Thahrā
use har shaḳhs ko apnā banānā ḳhuub aatā hai
magar vo ḳhud kisī kā bhī nahīñ hushiyār jo Thahrā
wo kewal hukm deta hai sipah salar jo Thahra
main us ki jang laDta hun main bas hathiyar jo Thahra
dikhawe ki ye hamdardi tasalli khokhle wade
mujhe sab jhelne paDte hain main bekar jo Thahra
tu bhagam-bhag mein is daur ki shamil hui hi kyun
main kaise sath dun tera main kam raftar jo Thahra
mohabbat dosti chahat wafa dil aur kawita se
mere is daur ko parhez hai bimar jo Thahra
ghuTan lagti na yun kamre mein ek do khiDkiyan hotin
main kewal soch sakta hun kiraya-dar jo Thahra
use har shaKHs ko apna banana KHub aata hai
magar wo KHud kisi ka bhi nahin hushiyar jo Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.