Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahan kuchh raha ho to hum munh dikhaen

Shamsher Bahadur Singh

yahan kuchh raha ho to hum munh dikhaen

Shamsher Bahadur Singh

MORE BYShamsher Bahadur Singh

    yahāñ kuchh rahā ho to ham muñh dikhā.eñ

    unhoñ ne bulāyā hai kyā le ke jaa.eñ

    kuchh aapas meñ jaise badal ga.ī hai

    hamārī duā.eñ tumhārī balā.eñ

    tum ek ḳhvāb the jis meñ ḳhud kho ga.e ham

    tumhīñ yaad aa.eñ to kyā yaad aa.eñ

    vo ik baat jo zindagī ban ga.ī hai

    jo tum bhuul jaao to ham bhuul jaa.eñ

    vo ḳhāmoshiyāñ jin meñ tum ho na ham haiñ

    magar haiñ hamārī tumhārī sadā.eñ

    bahut naam haiñ ek 'shamsher' bhī hai

    kise pūchhte ho kise ham batā.eñ

    yahan kuchh raha ho to hum munh dikhaen

    unhon ne bulaya hai kya le ke jaen

    kuchh aapas mein jaise badal si gai hai

    hamari duaen tumhaari balaen

    tum ek KHwab the jis mein KHud kho gae hum

    tumhin yaad aaen to kya yaad aaen

    wo ek baat jo zindagi ban gai hai

    jo tum bhul jao to hum bhul jaen

    wo KHamoshiyan jin mein tum ho na hum hain

    magar hain hamari tumhaari sadaen

    bahut nam hain ek 'shamsher' bhi hai

    kise puchhte ho kise hum bataen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now