yahi aawaz ka mausam hai na Talo mujhko
yahī āvāz kā mausam hai na Taalo mujh ko
kuchh javāboñ se nipaTne do savālo mujh ko
maiñ kharā sikka huuñ jab chāhe chalā lo mujh ko
sar-e-bāzār na rah rah ke uchhālo mujh ko
aa.ine aaj kī tahzīb ke sab patthar haiñ
phir se DhūñDo mire maazī ke havālo mujh ko
maiñ na āġhāz na anjām na paikar kā asiir
jānte hī nahīñ tum jānñe vaalo mujh ko
koī to haq hai añdheroñ kā bhī mujh par āḳhir
phir kisī soch meñ Dhalne do ujālo mujh ko
ġham-e-āfāq se nipTūñ to maiñ ḳhud kī sochūñ
apnā ehsās kahāñ chāhne vaalo mujh ko
merā kyā hai maiñ to ehsās kī lau huuñ 'tanhā'
jī meñ jab aa.e bujhā lo ki jagā lo mujh ko
yahi aawaz ka mausam hai na Talo mujh ko
kuchh jawabon se nipaTne do sawalo mujh ko
main khara sikka hun jab chahe chala lo mujh ko
sar-e-bazar na rah rah ke uchhaalo mujh ko
aaine aaj ki tahzib ke sab patthar hain
phir se DhunDo mere mazi ke hawalo mujh ko
main na aaghaz na anjam na paikar ka asir
jaante hi nahin tum jaanne walo mujh ko
koi to haq hai andheron ka bhi mujh par aaKHir
phir kisi soch mein Dhalne do ujalo mujh ko
gham-e-afaq se nipTun to main KHud ki sochun
apna ehsas kahan chahne walo mujh ko
mera kya hai main to ehsas ki lau hun 'tanha'
ji mein jab aae bujha lo ki jaga lo mujh ko
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.