ye sach hai ki paon ne bahut kashT uThae
ye sach hai ki paaoñ ne bahut kashT uThā.e
par paañv kisī tarah se rāhoñ pe to aa.e
hāthoñ meñ añgāroñ ko liye soch rahā thā
koī mujhe angāroñ kī tāsīr batā.e
jaise kisī bachche ko khilaune na mile hoñ
phirtā huuñ ka.ī yādoñ ko siine se lagā.e
chaTTānoñ se paaoñ ko bachā kar nahīñ chalte
sahme hue paaoñ se lipaT jaate haiñ saa.e
yuuñ pahle bhī apnā sā yahāñ kuchh to nahīñ thā
ab aur nazāre hameñ lagte haiñ parā.e
ye sach hai ki paon ne bahut kashT uThae
par panw kisi tarah se rahon pe to aae
hathon mein angaron ko liye soch raha tha
koi mujhe angaron ki tasir batae
jaise kisi bachche ko khilaune na mile hon
phirta hun kai yaadon ko sine se lagae
chaTTanon se paon ko bacha kar nahin chalte
sahme hue paon se lipaT jate hain sae
yun pahle bhi apna sa yahan kuchh to nahin tha
ab aur nazare hamein lagte hain parae
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 42)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.