ye zaban humse si nahin jati
ye zabāñ ham se sī nahīñ jaatī
zindagī hai ki jī nahīñ jaatī
in fasīloñ meñ vo darāḌeñ haiñ
jin meñ bas kar namī nahīñ jaatī
dekhiye us taraf ujālā hai
jis taraf raushnī nahīñ jaatī
shaam kuchh peḌ gir ga.e varna
baam tak chāñdnī nahīñ jaatī
ek aadat sī ban ga.ī hai tū
aur aadat kabhī nahīñ jaatī
mai-kasho mai zarūrī hai lekin
itnī kaḌvī ki pī nahīñ jaatī
mujh ko iisā banā diyā tum ne
ab shikāyat bhī kī nahīñ jaatī
ye zaban hum se si nahin jati
zindagi hai ki ji nahin jati
in fasilon mein wo daraDen hain
jin mein bas kar nami nahin jati
dekhiye us taraf ujala hai
jis taraf raushni nahin jati
sham kuchh peD gir gae warna
baam tak chandni nahin jati
ek aadat si ban gai hai tu
aur aadat kabhi nahin jati
mai-kasho mai zaruri hai lekin
itni kaDwi ki pi nahin jati
mujh ko isa bana diya tum ne
ab shikayat bhi ki nahin jati
- Book : saaye mein dhoop (Pg. 45)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna private limited (1975,1995)
- Edition : 1975,1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.