zard mausam ko surKH phul hain hum
zard mausam ko surḳh phuul haiñ ham
har nazar ko kahāñ qubūl haiñ ham
ham se har shaḳhs ruuTh jaatā hai
kyā kareñ sāhib-e-usūl haiñ ham
masnadeñ ho ga.iiñ atā jin ko
un kī nazroñ meñ sirf dhuul haiñ ham
kaash ham se koī savāl kare
kis liye chup haiñ kyuuñ malūl haiñ ham
apnī sab ḳhāmiyoñ ke saath ziyā
koī to hai jise qubūl haiñ ham
zard mausam ko surKH phul hain hum
har nazar ko kahan qubul hain hum
hum se har shaKHs ruTh jata hai
kya karen sahib-e-usul hain hum
masnaden ho gain ata jin ko
un ki nazron mein sirf dhul hain hum
kash hum se koi sawal kare
kis liye chup hain kyun malul hain hum
apni sab KHamiyon ke sath ziya
koi to hai jise qubul hain hum
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.