zindagi yun guzar aaya hun
zindagī yuuñ guzār aaya huuñ
jaise ik daañv haar aaya huuñ
tum ne dekhe na paañv ke chhāle
aag ke aar paar aaya huuñ
dharm īmān ke ḳhushī ġham ke
qarz saare utaar aaya huuñ
ab ye aalam hai apne dāman ko
kar ke ḳhud tār-tār aaya huuñ
raushnī chhoḌ kar añdhere meñ
lauT kar bār-bār aaya huuñ
zindagi yun guzar aaya hun
jaise ek danw haar aaya hun
tum ne dekhe na panw ke chhaale
aag ke aar par aaya hun
dharm iman ke KHushi gham ke
qarz sare utar aaya hun
ab ye aalam hai apne daman ko
kar ke KHud tar-tar aaya hun
raushni chhoD kar andhere mein
lauT kar bar-bar aaya hun
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 57)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.