lo mere nanhaa ko aatii hai nii.nd
lo mere nanhaa ko aatii hai nii.nd
sone kaa paiGaam laatii hai nii.nd
nanhaa hai meraa ba.Daa pahalvaan
nanhe pe mere KHudaa kii amaan
sach boltaa hai ye nanhaa miraa
hai jhuuTii baato.n se bezaar saa
jhuuT aur chuGlii se bachtaa hai ye
kitnaa samajhdaar bachcha hai ye
letaa hai pahle KHudaa kaa ye naam
kartaa hai phir hai.n jo karne ke kaam
pa.Dhne se ye jii churaataa nahii.n
khel aur kuud is ko bhaataa nahii.n
hogaa ba.Daa jab ye beTaa miraa
is ko milegaa ba.Daa martaba
islaam ke kaam aa.egaa ye
duniyaa kii mahfil sajaa.egaa ye
ho mere nanhaa pe fazl-e-KHudaa
jug-jug ji.e ye miraa laaDlaa
aa jaa rii nindiyaa tuu aa kyo.n na jaa.e
nanhaa ko mere sulaa kyo.n na jaa.e
aatii huu.n biibii ab aatii huu.n mai.n
nanhaa ko aa kar sulaatii huu.n mai.n
lo mere nanhaa ko aatii hai nii.nd
sone kaa paiGaam laatii hai nii.nd
nanhaa hai meraa ba.Daa pahalvaan
nanhe pe mere KHudaa kii amaan
sach boltaa hai ye nanhaa miraa
hai jhuuTii baato.n se bezaar saa
jhuuT aur chuGlii se bachtaa hai ye
kitnaa samajhdaar bachcha hai ye
letaa hai pahle KHudaa kaa ye naam
kartaa hai phir hai.n jo karne ke kaam
pa.Dhne se ye jii churaataa nahii.n
khel aur kuud is ko bhaataa nahii.n
hogaa ba.Daa jab ye beTaa miraa
is ko milegaa ba.Daa martaba
islaam ke kaam aa.egaa ye
duniyaa kii mahfil sajaa.egaa ye
ho mere nanhaa pe fazl-e-KHudaa
jug-jug ji.e ye miraa laaDlaa
aa jaa rii nindiyaa tuu aa kyo.n na jaa.e
nanhaa ko mere sulaa kyo.n na jaa.e
aatii huu.n biibii ab aatii huu.n mai.n
nanhaa ko aa kar sulaatii huu.n mai.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.