aadha maza visal ka pae hue to hun
aadhā maza visāl kā paa.e hue to huuñ
nañgā gale se tum ko lagā.e hue to huuñ
go laakh maiñ firāq meñ kamzor ho gayā
ulfat kā bojh sar par uThā.e hue to huuñ
puurā patā nahīñ hai ki jaate ho kis jagah
kuchh kuchh tumhāre bhed ko paa.e hue to huuñ
tum phir bhī kah rahe ho ki taskīñ nahīñ huī
hālāñki saarā zor lagā.e hue to huuñ
ye kyā kahā ki jaan bachātā hai qatl se
nutfa harām sar ko jhukā.e hue to huuñ
dushman kī chāplūsī se kuchh fā.eda nahīñ
saale ko bevaqūf banā.e hue to huuñ
kuchh kuchh vo mere qaabū meñ aa.e hue to haiñ
kuchh kuchh maiñ un ko daab meñ laa.e hue to huuñ
maanā ki 'būm' bazm-e-suḳhan meñ maza nahīñ
thoḌā sā phir bhī rang jamā.e hue to huuñ
aadha maza visal ka pae hue to hun
nanga gale se tum ko lagae hue to hun
go lakh main firaq mein kamzor ho gaya
ulfat ka bojh sar par uThae hue to hun
pura pata nahin hai ki jate ho kis jagah
kuchh kuchh tumhaare bhed ko pae hue to hun
tum phir bhi kah rahe ho ki taskin nahin hui
haalanki sara zor lagae hue to hun
ye kya kaha ki jaan bachata hai qatl se
nutfa haram sar ko jhukae hue to hun
dushman ki chaplusi se kuchh faeda nahin
sale ko bewaquf banae hue to hun
kuchh kuchh wo mere qabu mein aae hue to hain
kuchh kuchh main un ko dab mein lae hue to hun
mana ki 'bum' bazm-e-suKHan mein maza nahin
thoDa sa phir bhi rang jamae hue to hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.