aaKHiri gali
phir vahī chheḌīñ pyaar kī bāteñ aap nahīñ baaz ā.eñge
dekhiye ham uTh kar chal deñge aap nahīñ gar jā.eñge
qaus-e-quzah chūlhe meñ jaa.e kaalī ghaTā ko aag lage
kyā ham dekh nahīñ sakte haiñ aap hameñ dikhlā.eñge
āñkheñ hamārī achchhī haiñ to aap ko in se kyā matlab
jaisī bhī haiñ aap ab in ke pīchhe hī paḌ jā.eñge?
burī burī nazreñ chehre par Daal rahe haiñ uf tauba
ham apne donoñ gāloñ ko jā ke abhī dho ā.eñge
itne lambe lambe ḳhat ham kaise paḌheñ hā.e-allāh
jab bhī ā.eñge saath apne koī musībat lā.eñge
ham par aap ne nazmeñ likh diiñ is pe bhī ham ḳhāmosh rahe
nazmoñ ke baad aap to ham par nasr bhī ab chipkā.eñge
ye jhumke, ye senT, ye nazmeñ ishq kā sab sāz-o-sāmāñ
ab vāpas le jā.iye sāhab bas meñ nahīñ ham ā.eñge
ham kahte haiñ shahr meñ hoñgī nau so laḌkiyāñ kam-se-kam
ye kyā zid hai pyaar kī maalā ham hī ko pahnā.eñge
kar liije 'raziya' se mohabbat ham par kiije nazr-e-karam
vo be-chārī phañs jā.egī ham us ko samjhā.eñge
azmat bhī achchhī-ḳhāsī hai us se laḌā liije āñkheñ
aap is bandī kī ḳhātir kab tak zahmat farmā.eñge
'ḳhālid' sāhab aate haiñ to kaise kaheñ ham mat aao
aate haiñ to ham kyuuñ rokeñ khā to nahīñ vo jā.eñge
dekhiye haath lagāyā to ham Dar kar shor machā deñge
ammī abbā phupphū, ḳhāla dauḌ ke sab aa jā.eñge
pahle ham ko bahan kahā ab fikr hamīñ se shādī kī
ye bhī na sochā bahan se shādī kar ke kyā kahlā.eñge
phir wahi chheDin pyar ki baaten aap nahin baz aaenge
dekhiye hum uTh kar chal denge aap nahin gar jaenge
qaus-e-quzah chulhe mein jae kali ghaTa ko aag lage
kya hum dekh nahin sakte hain aap hamein dikhlaenge
aankhen hamari achchhi hain to aap ko in se kya matlab
jaisi bhi hain aap ab in ke pichhe hi paD jaenge?
buri buri nazren chehre par Dal rahe hain uf tauba
hum apne donon galon ko ja ke abhi dho aaenge
itne lambe lambe KHat hum kaise paDhen hae-allah
jab bhi aaenge sath apne koi musibat laenge
hum par aap ne nazmen likh din is pe bhi hum KHamosh rahe
nazmon ke baad aap to hum par nasr bhi ab chipkaenge
ye jhumke, ye senT, ye nazmen ishq ka sab saz-o-saman
ab wapas le jaiye sahab bas mein nahin hum aaenge
hum kahte hain shahr mein hongi nau so laDkiyan kam-se-kam
ye kya zid hai pyar ki mala hum hi ko pahnaenge
kar lije 'raziya' se mohabbat hum par kije nazr-e-karam
wo be-chaari phans jaegi hum us ko samjhaenge
azmat bhi achchhi-KHasi hai us se laDa lije aankhen
aap is bandi ki KHatir kab tak zahmat farmaenge
'KHalid' sahab aate hain to kaise kahen hum mat aao
aate hain to hum kyun roken kha to nahin wo jaenge
dekhiye hath lagaya to hum Dar kar shor macha denge
ammi abba phupphu, KHala dauD ke sab aa jaenge
pahle hum ko bahan kaha ab fikr hamin se shadi ki
ye bhi na socha bahan se shadi kar ke kya kahlaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.