aaTHwan shauhar
kuñvāre būḌhe ne shādī kī aisī aurat se
kisī tarah bhī jo kuchh kam na thī qayāmat se
nasīb vaalī thī chhe shādī kar chukī thī vo
ab apne sātveñ shauhar kī zindagī thī vo
kuchh aisā sātvāñ shauhar bhī ho gayā bīmār
yaqīñ thā sab ko ki ye bhī ajal kā hogā shikār
ye baat soch ke aurat ġharīb rone lagī
pachhāḌ maar ke hosh-o-havās khone lagī
ġhamoñ kī oT se us ne kahā ye shauhar se
batāo tum mujhe kis ke sahāre chhoḌ chale
ye sun ke bol uThā us se be-zabāñ shauhar
sukūn baḳhshe tum ko ab āTHvāñ shauhar
kunware buDhe ne shadi ki aisi aurat se
kisi tarah bhi jo kuchh kam na thi qayamat se
nasib wali thi chhe shadi kar chuki thi wo
ab apne satwen shauhar ki zindagi thi wo
kuchh aisa satwan shauhar bhi ho gaya bimar
yaqin tha sab ko ki ye bhi ajal ka hoga shikar
ye baat soch ke aurat gharib rone lagi
pachhaD mar ke hosh-o-hawas khone lagi
ghamon ki oT se us ne kaha ye shauhar se
batao tum mujhe kis ke sahaare chhoD chale
ye sun ke bol uTha us se be-zaban shauhar
sukun baKHshe tum ko ab aaTHwan shauhar
- Book : Papular Kalam (Pg. 109)
- Author : Sayed Ejazuddin Shah Papular Merthi
- Publication : S.K. Rastogi for Krishna Prakashan Media (P) Ltd.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.