aatish-e-husn bhari hai tere ruKHsaron mein
ātish-e-husn bharī hai tere ruḳhsāroñ meñ
kaun muñh maare dahakte hue añgāroñ meñ
tālib-e-dīd ko jab diid kā mauqa na milā
lākhoñ sūrāḳh kiye yaar kī dīvāroñ meñ
aaj kyā tū ne ayādat kā kiyā hai va.ada
khalbalī aaj machī hai tere bīmāroñ meñ
saiñkaḌoñ botaleñ aur bīsiyoñ sāġhar TuuTe
hāthā-pā.ī jo zarā ho ga.ī mai-ḳhvāroñ meñ
ġhair se aaj huī nochā khasūTi terī
daaġh jo niile paḌe haiñ tere ruḳhsāroñ meñ
bād-e-abrū se shab-e-hijr ko kaaTā ham ne
ye bhī chaltā huā hathiyār hai hathiyāroñ meñ
kahīñ ho jaa.e use burda-faroshī meñ sazā
ġhair us but ko liye phirtā hai bāzāroñ meñ
ham ko bhī husn-e-malāhat kā maza chakkhvā do
ham bhī haiñ aap ke muddat se talab-gāroñ meñ
buum sāhab kā ajab rang nirālā dekhā
yaar yāroñ meñ hai aġhyār hai aġhyāroñ meñ
aatish-e-husn bhari hai tere ruKHsaron mein
kaun munh mare dahakte hue angaron mein
talib-e-did ko jab did ka mauqa na mila
lakhon suraKH kiye yar ki diwaron mein
aaj kya tu ne ayaadat ka kiya hai wada
khalbali aaj machi hai tere bimaron mein
sainkaDon botalen aur bisiyon saghar TuTe
hatha-pai jo zara ho gai mai-KHwaron mein
ghair se aaj hui nocha khasuTi teri
dagh jo nile paDe hain tere ruKHsaron mein
baad-e-abru se shab-e-hijr ko kaTa hum ne
ye bhi chalta hua hathiyar hai hathiyaron mein
kahin ho jae use burda-faroshi mein saza
ghair us but ko liye phirta hai bazaron mein
hum ko bhi husn-e-malahat ka maza chakkhwa do
hum bhi hain aap ke muddat se talab-garon mein
bum sahab ka ajab rang nirala dekha
yar yaron mein hai aghyar hai aghyaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.