ab chal paDa hun aaKHiri apne safar ko main
ab chal paḌā huuñ āḳhirī apne safar ko meñ
achchhā hai sīdhā kar luuñ jo apnī kamar ko maiñ
haiñ ta.aziyat ko apnī ye donoñ uḌe hue
''hairāñ huuñ dil ko ro.uuñ ki peToñ jigar ko maiñ''
jab se baḌhā hai shahr meñ mautoñ kā silsila
hamrāh apne rakhtā huuñ ik nauhagar ko maiñ
mujh ko milegā biime kā paisa na ek bhī
''ye jāntā to aag lagātā na ghar ko maiñ''
Takrā gayā meñ Dhol se ik tārkol ke
muñh kaalā kar ke dūñgā duā guzar ko maiñ
ġham-ḳhvār ho na aadmī kā aadmī jahāñ
la.anat hazār bhejtā huuñ is nagar ko maiñ
saare fasād kī vahī ik jaḌ hai shahr meñ
jī chāhtā hai phūñk duuñ leader ke ghar ko maiñ
nazr-e-karam kā spray vo roz kar sakeñ
rakhtā khulā huuñ is liye zaḳhm-e-jigar ko maiñ
tārīf itnī karte ho kyuuñ 'rāz' kī janāb
kyā jāntā nahīñ huuñ bhalā is lachar ko maiñ
ab chal paDa hun aaKHiri apne safar ko mein
achchha hai sidha kar lun jo apni kamar ko main
hain taziyat ko apni ye donon uDe hue
hairan hun dil ko roun ki peTon jigar ko main
jab se baDha hai shahr mein mauton ka silsila
hamrah apne rakhta hun ek nauhagar ko main
mujh ko milega bime ka paisa na ek bhi
ye jaanta to aag lagata na ghar ko main
Takra gaya mein Dhol se ek tarkol ke
munh kala kar ke dunga dua guzar ko main
gham-KHwar ho na aadmi ka aadmi jahan
lanat hazar bhejta hun is nagar ko main
sare fasad ki wahi ek jaD hai shahr mein
ji chahta hai phunk dun leader ke ghar ko main
nazr-e-karam ka spray wo roz kar saken
rakhta khula hun is liye zaKHm-e-jigar ko main
tarif itni karte ho kyun 'raaz' ki janab
kya jaanta nahin hun bhala is lachar ko main
- Book : Ghalib aur Durgat (3rt Edition) (Pg. 58)
- Author : T.N. Raz
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.