ab jashn-e-ashk ai shab-e-hijran karenge hum
ab jashn-e-ashk ai shab-e-hijrāñ kareñge ham
apnī tabāhiyoñ pe charāġhāñ kareñge ham
ḳhud to kabhī na aa.egī hoñToñ pe ab hañsī
haañ dūsroñ ke hañsne kā sāmāñ kareñge ham
kyā thī ḳhabar ki had se guzar jā.egā junūñ
hāthoñ se apne chaak garebāñ kareñge ham
phir jāma-e-junūñ kī kareñge rafūgarī
phir intizār-e-fasl-e-bahārāñ kareñge ham
'sāġhar' bahut guzārī gunāhoñ meñ zindagī
ab kuchh na kuchh najāt kā sāmāñ kareñge ham
ab jashn-e-ashk ai shab-e-hijran karenge hum
apni tabahiyon pe charaghan karenge hum
KHud to kabhi na aaegi honTon pe ab hansi
han dusron ke hansne ka saman karenge hum
kya thi KHabar ki had se guzar jaega junun
hathon se apne chaak gareban karenge hum
phir jama-e-junun ki karenge rafugari
phir intizar-e-fasl-e-bahaaran karenge hum
'saghar' bahut guzari gunahon mein zindagi
ab kuchh na kuchh najat ka saman karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.