Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

adu ki maut ka tumko agar malal hua

Boom Merathi

adu ki maut ka tumko agar malal hua

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    adū maut tum ko agar malāl huā

    mujhe ḳhushī hai ki saale intiqāl huā

    na is liye mujhe ġhurbat kuchh malāl huā

    tumhāre husn daulat se mālā-māl huā

    na duur dil se abhī tak tire malāl huā

    adū maut ko hālāñki DeḌh saal huā

    vo kaun hai ki na jis ko tirā ḳhayāl huā

    har ik ḳhayāl zīnat tirā jamāl huā

    kabhī na tum ko ġharīboñ kuchh ḳhayāl huā

    usī ke ho ga.e jis girah meñ maal huā

    na fā.eda hai na dushman intiqāl huā

    paḌe hue use bistar pe ek saal huā

    kiyā thā va.ada kabhī tum ne kal ke milne

    tumhārī ek isī kal ko DeḌh saal huā

    ḳhudā shaan hai bām-e-urūj par pahuñchā

    vo dil jo aap Thokar se pā.emāl huā

    tumhārā ghar nahīñ ḳhāsa ye mazbah-ḳhāna hai

    jo bad-nasīb yahāñ aa gayā halāl huā

    tumhārī teġh-e-adā se na bach sakā koī

    jo aadhe zaḳhmī to ādhoñ intiqāl huā

    vo māñgte haiñ usī din duā.eñ marne

    marīz-e-ishq jis dam ḳharāb haal huā

    paḌe haiñ saiñkaḌoñ teġh-e-nigāh ke zaḳhmī

    ki achchhā ḳhāsā tirā ghar haspatāl huā

    jahāñ bhī mil ga.e jabran lipaT gayā un ko

    kabhī na raazī se puurā mirā savāl huā

    ḳhudā ke vāste aa jaao ab to pahlū meñ

    tumhāre hijr meñ jiinā mirā muhāl huā

    usī ke ho ga.e ai 'būm' saiñkaḌoñ dushman

    jahāñ meñ koī agar sāhib-e-kamāl huā

    adu ki maut ka tum ko agar malal hua

    mujhe KHushi hai ki sale ka intiqal hua

    na is liye mujhe ghurbat ka kuchh malal hua

    tumhaare husn ki daulat se mala-mal hua

    na dur dil se abhi tak tere malal hua

    adu ki maut ko haalanki DeDh sal hua

    wo kaun hai ki na jis ko tera KHayal hua

    har ek KHayal ki zinat tera jamal hua

    kabhi na tum ko gharibon ka kuchh KHayal hua

    usi ke ho gae jis ki girah mein mal hua

    na faeda hai na dushman ka intiqal hua

    paDe hue use bistar pe ek sal hua

    kiya tha wada kabhi tum ne kal ke milne ka

    tumhaari ek isi kal ko DeDh sal hua

    KHuda ki shan hai baam-e-uruj par pahuncha

    wo dil jo aap ki Thokar se paemal hua

    tumhaara ghar nahin KHasa ye mazbah-KHana hai

    jo bad-nasib yahan aa gaya halal hua

    tumhaari tegh-e-ada se na bach saka koi

    jo aadhe zaKHmi to aadhon ka intiqal hua

    wo mangte hain usi din duaen marne ki

    mariz-e-ishq ka jis dam KHarab haal hua

    paDe hain sainkaDon tegh-e-nigah ke zaKHmi

    ki achchha KHasa tera ghar hi haspatal hua

    jahan bhi mil gae jabran lipaT gaya un ko

    kabhi na raazi se pura mera sawal hua

    KHuda ke waste aa jao ab to pahlu mein

    tumhaare hijr mein jina mera muhaal hua

    usi ke ho gae ai 'bum' sainkaDon dushman

    jahan mein koi agar sahib-e-kamal hua

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now