agar dushman ki thoDi si marammat aur ho jati
agar dushman kī thoḌī sī marammat aur ho jaatī
to phir ullū ke paThThe ko nasīhat aur ho jaatī
shab-e-va.ada maiñ un kī kam-sinī se Dar gayā varna
zarā sī baat par nāzil musībat aur ho jaatī
yahī achchhā huā tū ne jo zulfoñ ko muñDā Daalā
nahīñ to tere dīvānoñ kī hālat aur ho jaatī
agar tum nīm-uryāñ hashr ke maidāñ meñ aa jaate
qayāmat meñ phir ik barpā qayāmat aur ho jaatī
sharāb-e-nāb kī kartā mazammat phir na bhūle se
jo mai-ḳhāne meñ vaa.iz kī marammat aur ho jaatī
na un kī kam-sinī se maiñ sazā paatā adālat se
jo un ke āshnāoñ kī shahādat aur ho jaatī
lagā kartī hazāroñ āshiqoñ ko be-ḳhatā phāñsī
hasīnoñ kī agar ghar kī adālat aur ho jaatī
ḳhatā peshāb dushman kā huā ghar un ke piTne se
maza jab thā ki saale ko ijābat aur ho jaatī
hameñ chāroñ taraf se gher rakhā hai girānī ne
mere allāh ye duniyā se ġhārat aur ho jaatī
agar bosa diyā hai vasl kā va.ada bhī kar liije
ināyat kī to thoḌī sī ināyat aur ho jaatī
agar dil ko bachātā maiñ na zulfoñ ke aḌañge se
to duniyā bhar se lambī shām-e-furqat aur ho jaatī
duā hai 'būm' kī yārab ye cotton mills kī bābat
taraqqī aur hotī zeb-o-zīnat aur ho jaatī
agar dushman ki thoDi si marammat aur ho jati
to phir ullu ke paThThe ko nasihat aur ho jati
shab-e-wada main un ki kam-sini se Dar gaya warna
zara si baat par nazil musibat aur ho jati
yahi achchha hua tu ne jo zulfon ko munDa Dala
nahin to tere diwanon ki haalat aur ho jati
agar tum nim-uryan hashr ke maidan mein aa jate
qayamat mein phir ek barpa qayamat aur ho jati
sharab-e-nab ki karta mazammat phir na bhule se
jo mai-KHane mein waiz ki marammat aur ho jati
na un ki kam-sini se main saza pata adalat se
jo un ke aashnaon ki shahadat aur ho jati
laga karti hazaron aashiqon ko be-KHata phansi
hasinon ki agar ghar ki adalat aur ho jati
KHata peshab dushman ka hua ghar un ke piTne se
maza jab tha ki sale ko ijabat aur ho jati
hamein chaaron taraf se gher rakha hai girani ne
mere allah ye duniya se ghaarat aur ho jati
agar bosa diya hai wasl ka wada bhi kar lije
inayat ki to thoDi si inayat aur ho jati
agar dil ko bachata main na zulfon ke aDange se
to duniya bhar se lambi sham-e-furqat aur ho jati
dua hai 'bum' ki yarab ye cotton mills ki babat
taraqqi aur hoti zeb-o-zinat aur ho jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.