agarche hathiyar se hain Darte magar irade baDe baDe hain
agarche hathiyar se hain Darte magar irade baDe baDe hain
Ranjoor Azimabadi
MORE BYRanjoor Azimabadi
agarche hathiyār se haiñ Darte magar irāde baḌe baḌe haiñ
mile hameñ taḳht varna taḳhta ham apnī is baat par aḌe haiñ
agarche hathiyār dekhte hī ḳharāb hotī hai apnī dhotī
qalam se maidān-e-kāġhzī meñ hamesha sarkār se laḌe haiñ
agarche rahte haiñ jhoñpaḌoñ meñ par ḳhvāb mahloñ ke dekhte haiñ
saḌī galī machhlī khāte khāte dimāġh ham logoñ ke saḌe haiñ
hamesha sarkār-e-englishiya ko paanī pī pī ke koste haiñ
agarche dil haiñ hamāre buude magar zabāñ ke to ham baḌe haiñ
tuyūr-e-europe kī dekhā-dekhī hai shauq-e-parvāz ab hameñ bhī
agarche muddat se par hamāre creze-e-adbār se jhaḌe haiñ
sudeshī kī karte haiñ himāyat ki band ho londonī tijārat
qadam ukhaḌ jaa.eñ sāhiboñ ke jo arse se hind meñ gaḌe haiñ
kare koī ham pe laakh ehsāñ ham us ko māneñ ye kyā hai imkāñ
phisal paḌe jin pe buuñd paḌ kar vo un meñ chikne ham ghaḌe haiñ
sadā se the ham vahūsh-sīrat ġharīq-e-dariyā-e-jahl-e-zillat
jo paḌh ke añgrezī paa.ī izzat to zarf thā tañg ubal paḌe haiñ
agar sedition ke jurm meñ ham prison jaa.eñ to kuchh nahīñ ġham
ham apnī kaḌiyoñ ko beḌiyoñ ko ye samjheñge ye kaḌe chhaḌe haiñ
kiyā na ham ne ye kaam thoḌā ki sarfalar ko nikāl chhoḌā
hue haiñ ham kāmyāb aksar agar kisī baat par aḌe haiñ
kahā hai islāmiyoñ se ham ne ki apnā bhaa.ī hameñ samajhiye
jo kaam lenā hai ham ko un se to kaise fiqre unheñ jaḌe haiñ
ġharaz ki vaqtoñ meñ ham ne aksar lagā.ī hai muslimoñ se yaarī
magar ġharaz jab rahī na baaqī to un se nāhaq ulajh paḌe haiñ
navāb Dhāka kī hai ban aa.ī surendarnāth kī duhā.ī
hamārī shirkat se muslimoñ ko vo rokne ke liye khaḌe haiñ
agarche hathiyar se hain Darte magar irade baDe baDe hain
mile hamein taKHt warna taKHta hum apni is baat par aDe hain
agarche hathiyar dekhte hi KHarab hoti hai apni dhoti
qalam se maidan-e-kaghzi mein hamesha sarkar se laDe hain
agarche rahte hain jhonpaDon mein par KHwab mahlon ke dekhte hain
saDi gali machhli khate khate dimagh hum logon ke saDe hain
hamesha sarkar-e-englishiya ko pani pi pi ke koste hain
agarche dil hain hamare bude magar zaban ke to hum baDe hain
tuyur-e-europe ki dekha-dekhi hai shauq-e-parwaz ab hamein bhi
agarche muddat se par hamare creze-e-adbar se jhaDe hain
sudeshi ki karte hain himayat ki band ho londoni tijarat
qadam ukhaD jaen sahibon ke jo arse se hind mein gaDe hain
kare koi hum pe lakh ehsan hum us ko manen ye kya hai imkan
phisal paDe jin pe bund paD kar wo un mein chikne hum ghaDe hain
sada se the hum wahush-sirat ghariq-e-dariya-e-jahl-e-zillat
jo paDh ke angrezi pai izzat to zarf tha tang ubal paDe hain
agar sedition ke jurm mein hum prison jaen to kuchh nahin gham
hum apni kaDiyon ko beDiyon ko ye samjhenge ye kaDe chhaDe hain
kiya na hum ne ye kaam thoDa ki sarfalar ko nikal chhoDa
hue hain hum kaamyab aksar agar kisi baat par aDe hain
kaha hai islamiyon se hum ne ki apna bhai hamein samajhiye
jo kaam lena hai hum ko un se to kaise fiqre unhen jaDe hain
gharaz ki waqton mein hum ne aksar lagai hai muslimon se yari
magar gharaz jab rahi na baqi to un se nahaq ulajh paDe hain
nawab Dhaka ki hai ban aai surendarnath ki duhai
hamari shirkat se muslimon ko wo rokne ke liye khaDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.