aisa hua ki aaj phir aae wo KHwab mein
aisā huā ki aaj phir aa.e vo ḳhvāb meñ
ye ḳhāksār rah gayā uljhā hisāb meñ
jis din se ban gayā huuñ maiñ haDDī kabāb meñ
vo shoḳh paḌ gayā hai ajab pech-o-tāb meñ
dil ke bajā.e kaise vo pahlū meñ aa gayā
ai shaiḳh-jī paḌhā ye sabaq kis kitāb meñ
itnā sarīh un kī nigāhoñ kā thā savāl
maiñ haḌbaḌā ke rah gayā un ke javāb meñ
lab par hai kuchh zabāñ pe hai kuchh peT meñ hai kuchh
ab kyā kahūñ maiñ un kī mohabbat ke baab meñ
aisa hua ki aaj phir aae wo KHwab mein
ye KHaksar rah gaya uljha hisab mein
jis din se ban gaya hun main haDDi kabab mein
wo shoKH paD gaya hai ajab pech-o-tab mein
dil ke bajae kaise wo pahlu mein aa gaya
ai shaiKH-ji paDha ye sabaq kis kitab mein
itna sarih un ki nigahon ka tha sawal
main haDbaDa ke rah gaya un ke jawab mein
lab par hai kuchh zaban pe hai kuchh peT mein hai kuchh
ab kya kahun main un ki mohabbat ke bab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.