ajnabi chaman mein
na banā sakā nasheman kisī ajnabī chaman meñ
mirā ghar jalā hai jab se mire apne hī vatan meñ
mire zauq-e-ḳhush-libāsī ko farishte bhī to dekheñ
maiñ marūñ to dafn karnā Terī-len ke kafan meñ
ye hai be-sabāt duniyā isī dam ke murġh kī sī
jo sub.h pakā kitchen meñ magar aayā na tiffin meñ
maza gul ke toḌne kā to milā bahut ai gulchīñ
milī lazzat-e-ḳhalish bhī kisī ḳhaar kī chubhan meñ
yahī aarzū hai merī nazm-o-nasr meñ yaksāñ
ki nahīñ tazād koī mere sher aur suḳhan meñ
kabhī sābiqa paḌe na mirā saas aur ḳhusar se
mile biivī gaay jaisī jo bañdhī rahe sahn meñ
maiñ kabhī na byaah kartā jo mujhe ye ilm hotā
ki hajm baḌhegā un kā to ghaTūñgā maiñ vazan meñ
chaḌhā un pe gosht kaise mirī niklī haDDiyāñ kyoñ
ye to raaz kī haiñ bāteñ kahūñ kaise anjuman meñ
yahī farq rah gayā hai ai raqīb tujh meñ mujh meñ
maiñ basā huuñ jā ke bamba.ī tū rahā nahīñ dakan meñ
vahāñ byaah maiñ rachāyā tū rahā yahāñ akelā
maiñ qafas meñ bhī huuñ āzād tū asiir hai chaman meñ
ye hamārā hī vatan hai magar aaj ham haiñ mehmāñ
hai ajab sitam-zarīfī ki haiñ be-vatan vatan meñ
koī 'ḳhvāh-maḳhvāh' pūchhe tire qurb kī latāfat
ki tirā ḳhayāl aayā huī gudgudī badan meñ
na bana saka nasheman kisi ajnabi chaman mein
mera ghar jala hai jab se mere apne hi watan mein
mere zauq-e-KHush-libasi ko farishte bhi to dekhen
main marun to dafn karna Teri-len ke kafan mein
ye hai be-sabaat duniya isi dam ke murgh ki si
jo subh paka kitchen mein magar aaya na tiffin mein
maza gul ke toDne ka to mila bahut ai gulchin
mili lazzat-e-KHalish bhi kisi KHar ki chubhan mein
yahi aarzu hai meri nazm-o-nasr mein yaksan
ki nahin tazad koi mere sher aur suKHan mein
kabhi sabiqa paDe na mera sas aur KHusar se
mile biwi gay jaisi jo bandhi rahe sahn mein
main kabhi na byah karta jo mujhe ye ilm hota
ki hajm baDhega un ka to ghaTunga main wazan mein
chaDha un pe gosht kaise meri nikli haDDiyan kyon
ye to raaz ki hain baaten kahun kaise anjuman mein
yahi farq rah gaya hai ai raqib tujh mein mujh mein
main basa hun ja ke bambai tu raha nahin dakan mein
wahan byah main rachaya tu raha yahan akela
main qafas mein bhi hun aazad tu asir hai chaman mein
ye hamara hi watan hai magar aaj hum hain mehman
hai ajab sitam-zarifi ki hain be-watan watan mein
koi 'KHwah-maKHwah' puchhe tere qurb ki latafat
ki tera KHayal aaya hui gudgudi badan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.