alauddin ka tarbuz
yaqīñ hai jaa.e gī ik roz jaan dillī meñ
talāsh karte hue ik makān dillī meñ
tamām din ke sar-e-rāh ham thake-hāre
shikam meñ chūhe uchhalte the bhuuk ke maare
baḌā thā merā shikam dosto maiñ kyā kartā
raqam thī jeb meñ kam dosto maiñ kyā kartā
chalā ḳharīd ke tarbūz sū-e-dasht haqīr
lagī jo paañv meñ Thokar sañvar ga.ī taqdīr
ġham-e-hayāt kī rātoñ meñ din nikal aayā
girā jo haath se tarbūz jinn nikal aayā
adab se bolā ki adnā ġhulām huuñ 'sāġhar'
jo ho sake na kisī se vo kaam huuñ 'sāgar'
ishāra ho to maiñ ruḳh moḌ duuñ zamāne kā
banā duuñ tum ko manager yatīm-ḳhāne kā
mire sabab se latīfa mushā.ira ho jaa.e
palak jhapakne meñ shā.er bhī shā.era ho jaa.e
gunāh-o-shirk kī rātoñ meñ āftāb mile
ibādateñ kareñ mullā tumheñ savāb mile
agar maiñ chāhūñ muleThī se ras-bharī ho jaao
baġhair tiir chalā.e padam-shrī ho jaao
maiñ aadmī nahīñ dushman se sāz-bāz karūñ
agar maiñ chāhūñ to ahmaq ko sarfarāz karūñ
jo hukm kiije to murde meñ jaan Dalvā duuñ
maiñ ahd-e-pīrī meñ biivī javān dilvā duuñ
bajā.eñ sīTiyāñ ab talḳhiyāñ zamāne kī
ye pakḌo kunjiyāñ qārūn ke ḳhazāne kī
nahīñ hai dil kī tamannā jahān dilvā de
maiñ haath joḌ ke bolā makān dilvā de
ye kah ke ghus gayā tarbūz meñ vo kaalā jinn
ajiib vaqt hai bigḌe hue haiñ sab ke din
ye sard sard fazāoñ kā ġham na sahte ham
makāñ jo miltā to tarbūz meñ na rahte ham
yaqin hai jae gi ek roz jaan dilli mein
talash karte hue ek makan dilli mein
tamam din ke sar-e-rah hum thake-haare
shikam mein chuhe uchhalte the bhuk ke mare
baDa tha mera shikam dosto main kya karta
raqam thi jeb mein kam dosto main kya karta
chala KHarid ke tarbuz su-e-dasht haqir
lagi jo panw mein Thokar sanwar gai taqdir
gham-e-hayat ki raaton mein din nikal aaya
gira jo hath se tarbuz jinn nikal aaya
adab se bola ki adna ghulam hun 'saghar'
jo ho sake na kisi se wo kaam hun 'sagar'
ishaara ho to main ruKH moD dun zamane ka
bana dun tum ko manager yatim-KHane ka
mere sabab se latifa mushaira ho jae
palak jhapakne mein shaer bhi shaera ho jae
gunah-o-shirk ki raaton mein aaftab mile
ibaadaten karen mulla tumhein sawab mile
agar main chahun muleThi se ras-bhari ho jao
baghair tir chalae padam-shri ho jao
main aadmi nahin dushman se saz-baz karun
agar main chahun to ahmaq ko sarfaraaz karun
jo hukm kije to murde mein jaan Dalwa dun
main ahd-e-piri mein biwi jawan dilwa dun
bajaen siTiyan ab talKHiyan zamane ki
ye pakDo kunjiyan qarun ke KHazane ki
nahin hai dil ki tamanna jahan dilwa de
main hath joD ke bola makan dilwa de
ye kah ke ghus gaya tarbuz mein wo kala jinn
ajib waqt hai bigDe hue hain sab ke din
ye sard sard fazaon ka gham na sahte hum
makan jo milta to tarbuz mein na rahte hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.