america aur biwi
merī biivī nāshta kartī na thī mere baġhair
raat kā khānā bhī mere saath hī khātī thī vo
pahuñchī america to us ko lag ga.ī aisī havā
mujh ko nukkaḌ se bas ik bargar mañgā detī thī vo
dandanātī phirtī thī vo apnī cadillac meñ
baat kartā thā to bas T.v lagā letī thī vo
tab polāv aur biryānī to bas ik ḳhvāb thā
naam se bhī un ke to nārāz ho jaatī thī vo
nisf behtar maiñ thā mujh ko nisf bad-tar kar dayā
mere hisse ke bhī sab dollar uḌā detī thī vo
ḳharch karnā us kā sheva aur kamānā merā kaam
mujh ko ye nukta baḌī chāhat se samjhātī thī vo
kar ke shādī phañs ga.e hammād-hasan par karte kiyā
zindagī kī gaaḌī kā pahiya jo kahlātī thī vo
meri biwi nashta karti na thi mere baghair
raat ka khana bhi mere sath hi khati thi wo
pahunchi america to us ko lag gai aisi hawa
mujh ko nukkaD se bas ek bargar manga deti thi wo
dandanati phirti thi wo apni cadillac mein
baat karta tha to bas Tw laga leti thi wo
tab polaw aur biryani to bas ek KHwab tha
nam se bhi un ke to naraaz ho jati thi wo
nisf behtar main tha mujh ko nisf bad-tar kar daya
mere hisse ke bhi sab dollar uDa deti thi wo
KHarch karna us ka shewa aur kamana mera kaam
mujh ko ye nukta baDi chahat se samjhati thi wo
kar ke shadi phans gae hammad-hasan par karte kiya
zindagi ki gaDi ka pahiya jo kahlati thi wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.