an-jaana Dar
vālid se mai-kade meñ mulāqāt ho ga.ī
maiñ jis se Dar rahā thā vahī baat ho ga.ī
bazm-e-suḳhan meñ maiñ thā musalsal jagā rahā
thā zehn bhī hazal kī dhunoñ meñ phañsā huā
khānā milā thā shab na savere kā nāshta
bhūle se us ke ghar kī taraf maiñ chalā gayā
achchhī tarah se merī mudārāt ho ga.ī
maiñ jis se Dar rahā thā vahī baat ho ga.ī
kyā pūchhte ho daur-e-ġharībī kā mājrā
had se baḌhī jo bhuuk naqāhat se gir paḌā
dāman thā tār-tār garebāñ phaTā phaTā
us kī galī ke logoñ ne majnūñ samajh liyā
bachchoñ kī ek fauj mere saath ho ga.ī
maiñ jis se Dar rahā thā vahī baat ho ga.ī
afsos aarzū pe mirī os paḌ ga.ī
āḳhir vahī huā merī duniyā ujaḌ ga.ī
baat apnī kuchh banī to bahut kuchh bigaḌ ga.ī
vo ḳhud hī mujh se shādī na karne pe aḌ ga.ī
jiite mire raqīb mujhe maat ho ga.ī
maiñ jis se Dar rahā thā vahī baat ho ga.ī
kal raat jā paḌā maiñ achānak tilak nagar
the rāste meñ merī ka.ī sāliyoñ ke ghar
jalve bhī de sake na mujhe dāvat-e-nazar
jī chāhtā thā phūloñ kī barsāt ho magar
bad-qismatī se jūtoñ kī barsāt ho ga.ī
maiñ jis se Dar rahā thā vahī baat ho ga.ī
achchhī tarah jo ishq meñ barbād ho gayā
har ek qaid-e-fikr se āzād ho gayā
āḳhir ko mai-kade meñ hī ābād ho gayā
maiñ mādar-e-sharāb kā dāmād ho gayā
saarī hayāt nazr-e-ḳharābāt ho ga.ī
maiñ jis se Dar rahā thā vahī baat ho ga.ī
biivī ne merī mujh se kahā mere 'pāpular'
sher-o-suḳhan se dil na jalā mere 'pāpular'
hai vaqt ab bhī hosh meñ aa mere 'pāpular'
in shā.iroñ se ḳhud ko bachā mere 'pāpular'
phir shā.iroñ se raat mulāqāt ho ga.ī
maiñ jis se Dar rahā thā vahī baat ho ga.ī
walid se mai-kade mein mulaqat ho gai
main jis se Dar raha tha wahi baat ho gai
bazm-e-suKHan mein main tha musalsal jaga raha
tha zehn bhi hazal ki dhunon mein phansa hua
khana mila tha shab na sawere ka nashta
bhule se us ke ghar ki taraf main chala gaya
achchhi tarah se meri mudaraat ho gai
main jis se Dar raha tha wahi baat ho gai
kya puchhte ho daur-e-gharibi ka majra
had se baDhi jo bhuk naqahat se gir paDa
daman tha tar-tar gareban phaTa phaTa
us ki gali ke logon ne majnun samajh liya
bachchon ki ek fauj mere sath ho gai
main jis se Dar raha tha wahi baat ho gai
afsos aarzu pe meri os paD gai
aaKHir wahi hua meri duniya ujaD gai
baat apni kuchh bani to bahut kuchh bigaD gai
wo KHud hi mujh se shadi na karne pe aD gai
jite mere raqib mujhe mat ho gai
main jis se Dar raha tha wahi baat ho gai
kal raat ja paDa main achanak tilak nagar
the raste mein meri kai saliyon ke ghar
jalwe bhi de sake na mujhe dawat-e-nazar
ji chahta tha phulon ki barsat ho magar
bad-qismati se juton ki barsat ho gai
main jis se Dar raha tha wahi baat ho gai
achchhi tarah jo ishq mein barbaad ho gaya
har ek qaid-e-fikr se aazad ho gaya
aaKHir ko mai-kade mein hi aabaad ho gaya
main madar-e-sharab ka damad ho gaya
sari hayat nazr-e-KHarabaat ho gai
main jis se Dar raha tha wahi baat ho gai
biwi ne meri mujh se kaha mere 'papular'
sher-o-suKHan se dil na jala mere 'papular'
hai waqt ab bhi hosh mein aa mere 'papular'
in shairon se KHud ko bacha mere 'papular'
phir shairon se raat mulaqat ho gai
main jis se Dar raha tha wahi baat ho gai
- Book : Papular Kalam (Pg. 105)
- Author : Sayed Ejazuddin Shah Papular Merthi
- Publication : S.K. Rastogi for Krishna Prakashan Media (P) Ltd.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.