umīd-vār thā 'vāhī' bhī membarī ke liye
ki shortcut hai yahī ik tavañgarī ke liye
magar ba-faiz-e-harīfāñ use ticket na milā
phañsā jo kohr-e-siyāsat meñ shortcut na milā
appeal board meñ pahūñchā to yuuñ shikāyat kī
huzūr kī na ga.ī qadar merī ḳhidmat kī
ye ḳhud-satā.ī nahīñ balki ye haqīqat-e-hāl
kisī harīf se kamtar nahīñ mire a.amāl
vo saare gun jo haiñ me.aar leaderī ke liye
vo saare vasf jo lāzim haiñ rahbarī ke liye
haiñ us ġhulām kī fitrat meñ is tarah maujūd
ki jaise duudh meñ chīnī ho aur taar meñ paud
avām-dushmanī pesha rahā hai muddat se
tamām-umr laḌā huuñ haqq-o-sadāqat se
mirī giraft meñ rahte haiñ sāda-lauh avaam
maiñ un ke naam ko kartā huuñ rāt-din nīlām
zabān-e-tez se taqrīr garm kartā huuñ
aur us kī aañch se lohe ko naram kartā huuñ
kabhī jo ḳhidmat-e-qaumī kā paar letā huuñ
to muflisoñ kī lañgoTī utaar letā huuñ
mirī sarisht meñ dāḳhil hai chor-bāzārī
mirī bahisht hai bāzār-e-hirs-o-makkārī
ḳhudā ke fazl se rāshan kā rozgār bhī hai
baseñ bhī chaltī haiñ ḳhādim ke paas car bhī hai
munāfe.a-ḳhor bhī huuñ aur sūd-ḳhār bhī huuñ
ḳhudā-parast bhī huuñ aur ḳhudā kī maar bhī huuñ
maiñ chor bhī huuñ Dakaitoñ kā sarġhana bhī huuñ
maiñ rahzanoñ kā moallim bhī rahnumā bhī huuñ
baḌī safā.ī se kar ke zaḳhīra-andozī
akaal meñ bhī manātā huuñ jashn fīrozī
ġharaz ki mamba.a-e-ausāf hai ye ḳhādim-e-qaum
ḳhudā ke vāste bhūleñ na us ko nāzim-e-qaum
umid-war tha 'wahi' bhi membari ke liye
ki shortcut hai yahi ek tawangari ke liye
magar ba-faiz-e-harifan use ticket na mila
phansa jo kohr-e-siyasat mein shortcut na mila
appeal board mein pahuncha to yun shikayat ki
huzur ki na gai qadar meri KHidmat ki
ye KHud-satai nahin balki ye haqiqat-e-haal
kisi harif se kamtar nahin mere aamal
wo sare gun jo hain mear leaderi ke liye
wo sare wasf jo lazim hain rahbari ke liye
hain us ghulam ki fitrat mein is tarah maujud
ki jaise dudh mein chini ho aur tar mein paud
awam-dushmani pesha raha hai muddat se
tamam-umr laDa hun haqq-o-sadaqat se
meri giraft mein rahte hain sada-lauh awam
main un ke nam ko karta hun raat-din nilam
zaban-e-tez se taqrir garm karta hun
aur us ki aanch se lohe ko naram karta hun
kabhi jo KHidmat-e-qaumi ka par leta hun
to muflison ki langoTi utar leta hun
meri sarisht mein daKHil hai chor-bazari
meri bahisht hai bazar-e-hirs-o-makkari
KHuda ke fazl se rashan ka rozgar bhi hai
basen bhi chalti hain KHadim ke pas car bhi hai
munafea-KHor bhi hun aur sud-KHar bhi hun
KHuda-parast bhi hun aur KHuda ki mar bhi hun
main chor bhi hun Dakaiton ka sarghana bhi hun
main rahzanon ka moallim bhi rahnuma bhi hun
baDi safai se kar ke zaKHira-andozi
akal mein bhi manata hun jashn firozi
gharaz ki mamba-e-ausaf hai ye KHadim-e-qaum
KHuda ke waste bhulen na us ko nazim-e-qaum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.