ba-majburi har ek ranj-o-mehan likhna paDa mujhko
ba-majburi har ek ranj-o-mehan likhna paDa mujhko
Ameerul Islam Hashmi
MORE BYAmeerul Islam Hashmi
ba-majbūrī har ik rañj-o-mehan likhnā paḌā mujh ko
banā kar ḳhud ko mauzū-e-suḳhan likhnā paḌā mujh ko
zabāneñ jin kī qaiñchī kī tarah chaltī thiiñ shauhar par
unheñ shīrīñ-zabāñ shīrīñ-dahan likhnā paḌā mujh ko
har ik mahfil meñ jalvoñ kī jo rishvat pesh kartī thiiñ
vo jaisī bhī thiiñ jān-e-anjuman likhnā paḌā mujh ko
mirī majbūriyoñ ne nāzukī kā ḳhuun kar Daalā
har ik gobhī-badan ko gul-badan likhnā paḌā mujh ko
jab ik alhaḌ banī dulhan kisī bosīda shauhar kī
to us ke surḳh joḌe ko kafan likhnā paḌā mujh ko
vo jin kī umr kī ghaḌiyāñ nihāyat sust chaltī haiñ
sanad se un kī paidā.ish kā san likhnā paḌā mujh ko
basā-auqāt hurmat bhī qalam kī daav par rakh dī
luTeroñ ko muhibbān-e-vatan likhnā paḌā mujh ko
haqīqat ye hai vo bachche na mujrim the na qātil the
to sab kā qissa-e-dār-o-rasan likhnā paḌā mujh ko
vo be-hañgam sī jin ko dekh kar maiñ tauba kartā thā
ba-majbūrī unheñ tauba-shikan likhnā paḌā mujh ko
bahut mushkil thā jin ko DhūñDnā make-up ke malbe se
so andāze se un kā bāñkpan likhnā paḌā mujh ko
ba-majburi har ek ranj-o-mehan likhna paDa mujh ko
bana kar KHud ko mauzu-e-suKHan likhna paDa mujh ko
zabanen jin ki qainchi ki tarah chalti thin shauhar par
unhen shirin-zaban shirin-dahan likhna paDa mujh ko
har ek mahfil mein jalwon ki jo rishwat pesh karti thin
wo jaisi bhi thin jaan-e-anjuman likhna paDa mujh ko
meri majburiyon ne nazuki ka KHun kar Dala
har ek gobhi-badan ko gul-badan likhna paDa mujh ko
jab ek alhaD bani dulhan kisi bosida shauhar ki
to us ke surKH joDe ko kafan likhna paDa mujh ko
wo jin ki umr ki ghaDiyan nihayat sust chalti hain
sanad se un ki paidaish ka san likhna paDa mujh ko
basa-auqat hurmat bhi qalam ki daw par rakh di
luTeron ko muhibban-e-watan likhna paDa mujh ko
haqiqat ye hai wo bachche na mujrim the na qatil the
to sab ka qissa-e-dar-o-rasan likhna paDa mujh ko
wo be-hangam si jin ko dekh kar main tauba karta tha
ba-majburi unhen tauba-shikan likhna paDa mujh ko
bahut mushkil tha jin ko DhunDna make-up ke malbe se
so andaze se un ka bankpan likhna paDa mujh ko
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 119)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.