bahisht-e-barin
ḳhudā se duā bahr-e-duniyā kareñge
ġhalat hai ki ham fikr-e-uqbā kareñge
baḌe ho ke council meñ jaayā kareñge
to dil se ye iqrār pakkā kareñge
ki jannat kī ḳhātir na jhagḌā kareñge
bahisht-e-barīñ le ke ham kyā kareñge
bahisht-e-barīñ kyā hai bas ek gulshan
farishtoñ kā dīdār hūroñ ke darshan
har ik jannatī be-hunar aur be-fan
na bazm-e-adab aur na radio-station
kahāñ ham ġhazal apnī gaayā kareñge
bahisht-e-barīñ le ke ham kyā kareñge
na sāmāñ vahāñ koī vaj.h-e-masarrat
na ishq-o-mohabbat kī vaañ koī sūrat
dinner-suiT kis vaqt pahnā kareñge
bahisht-e-barīñ le ke ham kyā kareñge
faqat ḳhushk mullā aur allāhu-akbar
pare zāhidoñ ke sar-e-hauz-e-kausar
na ghoḌā na gaaḌī na Tāñga na motor
na shimla pahāḌī na cinema na theTar
kahāñ shaam apnī guzārā kareñge
bahisht-e-barīñ le ke ham kyā kareñge
sunā hai vahāñ shā.irī bhī na hogī
aur ushshāq kī be-kalī bhī na hogī
balā se jo ye dil-lagī bhī na hogī
sitam to ye hai lānDarī bhī na hogī
kahāñ apne kapḌe dhulāyā kareñge
bahisht-e-barīñ le ke ham kyā kareñge
vahāñ hoñge bekār qirtās o ḳhāma
na paiġhām-e-ulfat na maktūb-nāma
na novel-navesī na sher aur Darāma
faqat haath meñ hogā ik pā.ejāma
si.eñge use aur udheḌā kareñge
bahisht-e-barīñ le ke ham kyā kareñge
zabāñ bhī vahāñ hogī ahl-e-arab kī
yahāñ ham ne sīkhī hai english ġhazab kī
zabāñ kaise hūroñ kī samjhā kareñge
bahisht-e-barīñ le ke ham kyā kareñge
haqīqat ko jannat kī ham ḳhaak jāneñ
ki utnī hī bāteñ haiñ jitnī zabāneñ
magar aap is baat ko raast māneñ
na hoñgī kahīñ sāḌiyoñ kī dukāneñ
ye maanā ki jannat meñ hai ḳhuub raunaq
khile haiñ chambelī gulāb aur zambaq
magar hogā apne liye vo laq-o-daq
nahīñ hoñge us meñ kabhī haajī 'laq-laq'
farishte hameñ kab hañsāyā kareñge
bahisht-e-barīñ le ke ham kyā kareñge
KHuda se dua bahr-e-duniya karenge
ghalat hai ki hum fikr-e-uqba karenge
baDe ho ke council mein jaya karenge
to dil se ye iqrar pakka karenge
ki jannat ki KHatir na jhagDa karenge
bahisht-e-barin le ke hum kya karenge
bahisht-e-barin kya hai bas ek gulshan
farishton ka didar huron ke darshan
har ek jannati be-hunar aur be-fan
na bazm-e-adab aur na radio-station
kahan hum ghazal apni gaya karenge
bahisht-e-barin le ke hum kya karenge
na saman wahan koi wajh-e-masarrat
na ishq-o-mohabbat ki wan koi surat
dinner-suiT kis waqt pahna karenge
bahisht-e-barin le ke hum kya karenge
faqat KHushk mulla aur allahu-akbar
pare zahidon ke sar-e-hauz-e-kausar
na ghoDa na gaDi na Tanga na motor
na shimla pahaDi na cinema na theTar
kahan sham apni guzara karenge
bahisht-e-barin le ke hum kya karenge
suna hai wahan shairi bhi na hogi
aur ushshaq ki be-kali bhi na hogi
bala se jo ye dil-lagi bhi na hogi
sitam to ye hai lanDari bhi na hogi
kahan apne kapDe dhulaya karenge
bahisht-e-barin le ke hum kya karenge
wahan honge bekar qirtas o KHama
na paigham-e-ulfat na maktub-nama
na nowel-nawesi na sher aur Darama
faqat hath mein hoga ek paejama
sienge use aur udheDa karenge
bahisht-e-barin le ke hum kya karenge
zaban bhi wahan hogi ahl-e-arab ki
yahan hum ne sikhi hai english ghazab ki
zaban kaise huron ki samjha karenge
bahisht-e-barin le ke hum kya karenge
haqiqat ko jannat ki hum KHak jaanen
ki utni hi baaten hain jitni zabanen
magar aap is baat ko rast manen
na hongi kahin saDiyon ki dukanen
ye mana ki jannat mein hai KHub raunaq
khile hain chambeli gulab aur zambaq
magar hoga apne liye wo laq-o-daq
nahin honge us mein kabhi haji 'laq-laq'
farishte hamein kab hansaya karenge
bahisht-e-barin le ke hum kya karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.