baiThe hain aise zulf mein kaliyan sanwar ke
baiThe haiñ aise zulf meñ kaliyāñ sañvār ke
aa.e hoñ jaise un ke liye din bahār ke
ai tez-rau zamāne tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
lamhe sadī bane haiñ shab-e-intizār ke
baaqī rahe na gulshan o gul aur na āshiyāñ
lekin haiñ chār-sū vahī charche bahār ke
ai rah-ravān-e-gor-e-ġharībāñ ḳhamosh ho
so.e haiñ sone vaale shab-e-ġham guzār ke
ai sālkān-e-ahl-e-junūñ aur tez-gām
uTh uTh ke dekhte haiñ bagūle ġhubār ke
mere ḳhudā shikasta safīne kī ḳhair ho
har mauj dekhtī hai mujhe sar ubhār ke
baiThe hain aise zulf mein kaliyan sanwar ke
aae hon jaise un ke liye din bahaar ke
ai tez-rau zamane tujhe kuchh KHabar bhi hai
lamhe sadi bane hain shab-e-intizar ke
baqi rahe na gulshan o gul aur na aashiyan
lekin hain chaar-su wahi charche bahaar ke
ai rah-rawan-e-gor-e-ghariban KHamosh ho
soe hain sone wale shab-e-gham guzar ke
ai salkan-e-ahl-e-junun aur tez-gam
uTh uTh ke dekhte hain bagule ghubar ke
mere KHuda shikasta safine ki KHair ho
har mauj dekhti hai mujhe sar ubhaar ke
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 462)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.