bajaT ki kai saKHtiyan aur bhi hain
bajaT kī ka.ī saḳhtiyāñ aur bhī haiñ
''abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ''
ba-zāhir to ye ik avāmī bajaT hai
magar is meñ kuchh ḳhūbiyāñ aur bhī haiñ
nahīñ chal sakī ik sifārish to kyā ġham
na ghabrā mire mehrbāñ aur bhī haiñ
faqat ek bil hī nahīñ doctor kā
davāoñ kī kuchh parchiyāñ aur bhī haiñ
na itrā agar bach gayā hādse se
saḌak par abhī lāriyāñ aur bhī haiñ
kabhī 'mīr' o 'ġhālib' suḳhan-var the lekin
yahāñ ab fulāñ o fulāñ aur bhī haiñ
faqat rañg hī un kā kaalā nahīñ hai
isī qism kī ḳhūbiyāñ aur bhī haiñ
nahīñ shaiḳh kī ek pinDī meñ zauja
karachi meñ do bīviyāñ aur bhī haiñ
na khīñcho abhī haath khāne se 'shāhid'
polāv meñ kuchh boTiyāñ aur bhī haiñ
bajaT ki kai saKHtiyan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
ba-zahir to ye ek awami bajaT hai
magar is mein kuchh KHubiyan aur bhi hain
nahin chal saki ek sifarish to kya gham
na ghabra mere mehrban aur bhi hain
faqat ek bil hi nahin doctor ka
dawaon ki kuchh parchiyan aur bhi hain
na itra agar bach gaya hadse se
saDak par abhi lariyan aur bhi hain
kabhi 'mir' o 'ghaalib' suKHan-war the lekin
yahan ab fulan o fulan aur bhi hain
faqat rang hi un ka kala nahin hai
isi qism ki KHubiyan aur bhi hain
nahin shaiKH ki ek pinDi mein zauja
karachi mein do biwiyan aur bhi hain
na khincho abhi hath khane se 'shahid'
polaw mein kuchh boTiyan aur bhi hain
- Book : Dish antenna (Pg. 97)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.