bak raha hun aaj kal hizyan baqi KHair hai
bak rahā huuñ aaj kal hizyān baaqī ḳhair hai
aur lāhaq hai zarā nisyān baaqī ḳhair hai
kaar mere yaar kī thī aur phir chorī kī thī
ho gayā hai chuuk meñ chālān baaqī ḳhair hai
ghaas bhī ugtī nahīñ hai baal bhī ugte nahīñ
ban gayā hai sar mirā maidān baaqī ḳhair hai
fikr kī to baat koī bhī nahīñ hai jān-e-jāñ
ghar meñ haiñ bas darjanoñ mehmān baaqī ḳhair hai
ek arsa ho gayā hai raat din thāne meñ huuñ
aur chhuTne kā nahīñ imkān baaqī ḳhair hai
jis kā bañgla dekh kar ghar-bār ko chhoḌā gayā
vo to yaksar ho ga.ī anjān baaqī ḳhair hai
bah rahī hai rāt-bhar se naak sar meñ dard hai
aur kuchh sunet nahīñ haiñ kaan baaqī ḳhair hai
saal se hai saas merī dākuoñ kī qaid meñ
māñgte haiñ vo baḌā tāvān baaqī ḳhair hai
hai zarā ḳhārish sī dādā-jān ko laqvā bhī hai
aur haiñ bīmār dādī-jān baaqī ḳhair hai
kal se hai bachchī ko haiza aur bachche ko buḳhār
sab se chhoTe ko huā yarqān baaqī ḳhair hai
baat ab tashvīsh kī koī nahīñ aisī 'fahīm'
duur tak miltā nahīñ insān baaqī ḳhair hai
bak raha hun aaj kal hizyan baqi KHair hai
aur lahaq hai zara nisyan baqi KHair hai
kar mere yar ki thi aur phir chori ki thi
ho gaya hai chuk mein chaalan baqi KHair hai
ghas bhi ugti nahin hai baal bhi ugte nahin
ban gaya hai sar mera maidan baqi KHair hai
fikr ki to baat koi bhi nahin hai jaan-e-jaan
ghar mein hain bas darjanon mehman baqi KHair hai
ek arsa ho gaya hai raat din thane mein hun
aur chhuTne ka nahin imkan baqi KHair hai
jis ka bangla dekh kar ghar-bar ko chhoDa gaya
wo to yaksar ho gai anjaan baqi KHair hai
bah rahi hai raat-bhar se nak sar mein dard hai
aur kuchh sunet nahin hain kan baqi KHair hai
sal se hai sas meri dakuon ki qaid mein
mangte hain wo baDa tawan baqi KHair hai
hai zara KHarish si dada-jaan ko laqwa bhi hai
aur hain bimar dadi-jaan baqi KHair hai
kal se hai bachchi ko haiza aur bachche ko buKHar
sab se chhoTe ko hua yarqan baqi KHair hai
baat ab tashwish ki koi nahin aisi 'fahim'
dur tak milta nahin insan baqi KHair hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.