be-chaari
Interesting Fact
A cry of the wife of a famous poet
mire shauhar ko samjhāo ye ghar meñ ġham banātā hai
qalam kī nok se lafzoñ ke atom bam banātā hai
na.ī bahroñ meñ ye misroñ ke pech-o-ḳham banātā hai
ye ġhazleñ an-ginat likhtā hai bachche kam banātā hai
is international shā.ir meñ dariyā kī ravānī hai
dubai Los-angeles london tak is ne ḳhaak chhānī hai
ajab PR hai aksar samundar paar rahtā hai
ġhazal chāhe adhūrī ho ticket tayyār rahtā hai
hamesha nāshte meñ fikr-angezī kā baiza hai
mujhe shauhar kī chāhat hai ise shohrat kā haiza hai
ba-qaul us ke sharīk-e-zindagī bad-zauq hai us kā
nizāmat shauq hai is kā sadārat tauq hai is kā
ḳhudī kā jaam raas aatā nahīñ hāthoñ meñ loTā hai
mire shauhar kā qad 'iqbāl' se thoḌā hī chhoTā hai
ġhazal kahtā hai DaT ke masnavī bil-azm kahtā hai
dimāġh is kā ulaT jaa.e to nasrī nazm kahtā hai
ye jab ġharq-e-suḳhan hogā ḳhamoshī farz kar degā
agar phir bhī koī bole to matl.a arz kar degā
na.e uslūb kī har shā.era se is kā naatā hai
mirī chāhat ke lahje meñ shutur-gurba batātā hai
pasand aatī hai urdu kī har ik champā kalī is ko
magar mujh meñ nazar aatā hai ītā-e-jalī is ko
mire abbā ne is ko daad dī nāzuk-ḳhayālī kī
mirī ammāñ ko kahtā hai musaddas hai ye 'hālī' kī
ye bachchoñ ko bulātā hai ba-andāz-e-suḳhan-dānī
kahāñ hai misra-e-ūlā kahāñ hai misra-e-sānī
ġhurūr-e-shauharī bilkul nahīñ bas sher kahtā hai
ye mere sāmne bhī zo.am-e-ustādī meñ rahtā hai
maiñ kahtī huuñ hamāre pyaar kā hāsil hai ḳhatre meñ
ye kahtā hai nahīñ urdu kā mustaqbil hai ḳhatre meñ
kabhī angūr thī ab ḳhushk meva ho ga.ī huuñ maiñ
mirā shauhar hai zinda aur beva ho ga.ī huuñ maiñ
mere shauhar ko samjhao ye ghar mein gham banata hai
qalam ki nok se lafzon ke atom bam banata hai
nai bahron mein ye misron ke pech-o-KHam banata hai
ye ghazlen an-ginat likhta hai bachche kam banata hai
is international shair mein dariya ki rawani hai
dubai Los-angeles london tak is ne KHak chhani hai
ajab PR hai aksar samundar par rahta hai
ghazal chahe adhuri ho ticket tayyar rahta hai
hamesha nashte mein fikr-angezi ka baiza hai
mujhe shauhar ki chahat hai ise shohrat ka haiza hai
ba-qaul us ke sharik-e-zindagi bad-zauq hai us ka
nizamat shauq hai is ka sadarat tauq hai is ka
KHudi ka jam ras aata nahin hathon mein loTa hai
mere shauhar ka qad 'iqbaal' se thoDa hi chhoTa hai
ghazal kahta hai DaT ke masnawi bil-azm kahta hai
dimagh is ka ulaT jae to nasri nazm kahta hai
ye jab gharq-e-suKHan hoga KHamoshi farz kar dega
agar phir bhi koi bole to matla arz kar dega
nae uslub ki har shaera se is ka nata hai
meri chahat ke lahje mein shutur-gurba batata hai
pasand aati hai urdu ki har ek champa kali is ko
magar mujh mein nazar aata hai ita-e-jali is ko
mere abba ne is ko dad di nazuk-KHayali ki
meri amman ko kahta hai musaddas hai ye 'haali' ki
ye bachchon ko bulata hai ba-andaz-e-suKHan-dani
kahan hai misra-e-ula kahan hai misra-e-sani
ghurur-e-shauhari bilkul nahin bas sher kahta hai
ye mere samne bhi zoam-e-ustadi mein rahta hai
main kahti hun hamare pyar ka hasil hai KHatre mein
ye kahta hai nahin urdu ka mustaqbil hai KHatre mein
kabhi angur thi ab KHushk mewa ho gai hun main
mera shauhar hai zinda aur bewa ho gai hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.