beauty parlour
zar ke badle husn kī ḳhairāt baTtī hai yahāñ
dekhte hī dekhte kaayā palaTtī hai yahāñ
kār-gāh-e-husn hai ye sinf-e-nāzuk ke liye
ḳharch ho jaate haiñ lākhoñ ik hasīñ look ke liye
rang kaalā ho agar us ko safedī baḳhsh deñ
'aam se chehroñ ko bhī ye tīkhe tīkhe naqsh deñ
parlour vaalī samajhtī hai sabhī kī nafsiyāt
muskurā kar dil-nashīñ lahje meñ yuuñ kartī hai baat
aap kī to jild baajī ho rahī hai ab ḳharāb
maiñ karūñgī facial ban jā.egī taaza gulāb
dekhte rah jā.eñge sab aise chamkegī skin
aap jis mahfil meñ hoñgī raat ban jā.egā din
pārTī make-up hamārā shahr meñ mash.hūr hai
husn ko aafat banānā bandī kā dastūr hai
dhaak yuuñ apnī biThā detī hai mastūrāt meñ
har kisī ko huur dikhtī hai bas apnī zaat meñ
maañ kī ḳhvāhish hai ki vo beTī se bhī kamsin lage
aisā karne meñ na jaane us ko kitne din lage
har koī vaisā nazar aa.e ki jo jaisā nahīñ
is liye bohtāt se dikhte haiñ do number hasīñ
zar ke badle husn ki KHairaat baTti hai yahan
dekhte hi dekhte kaya palaTti hai yahan
kar-gah-e-husn hai ye sinf-e-nazuk ke liye
KHarch ho jate hain lakhon ek hasin look ke liye
rang kala ho agar us ko safedi baKHsh den
'am se chehron ko bhi ye tikhe tikhe naqsh den
parlour wali samajhti hai sabhi ki nafsiyat
muskura kar dil-nashin lahje mein yun karti hai baat
aap ki to jild baji ho rahi hai ab KHarab
main karungi facial ban jaegi taza gulab
dekhte rah jaenge sab aise chamkegi skin
aap jis mahfil mein hongi raat ban jaega din
parTi make-up hamara shahr mein mashhur hai
husn ko aafat banana bandi ka dastur hai
dhak yun apni biTha deti hai masturaat mein
har kisi ko hur dikhti hai bas apni zat mein
man ki KHwahish hai ki wo beTi se bhi kamsin lage
aisa karne mein na jaane us ko kitne din lage
har koi waisa nazar aae ki jo jaisa nahin
is liye bohtat se dikhte hain do number hasin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.