beTa aur man
ek urdu ke professor kā beTā 'jām.ī'
apnī maañ ko ḳhat likhā kartā thā hindī meñ sadā
ek din pūchhā miyāñ urdu meñ kyoñ likhte nahīñ
I urdu don't know sir faḳhr se us ne kahā
jab ye pūchhā paḌh liyā kartī haiñ vo devnāgrī
hans ke bolā my mammy don't know hindī zarā
kis tarah mālūm hotā hai unheñ mazmūn-e-ḳhat
bolā ḳhat paḌh kar sunā detā hai koī dūsrā
kis zabāñ meñ maañ tumheñ detī haiñ is ḳhat kā javāb
she hamesha write in urdu mujhe us ne kahā
kaise phir mālūm hotā hai tumheñ mazmūn-e-ḳhat
bolā mujh ko bhī sunā detā hai paḌh kar dūsrā
ek urdu ke professor ka beTa 'jami'
apni man ko KHat likha karta tha hindi mein sada
ek din puchha miyan urdu mein kyon likhte nahin
I urdu don't know sir faKHr se us ne kaha
jab ye puchha paDh liya karti hain wo dewnagri
hans ke bola my mammy don't know hindi zara
kis tarah malum hota hai unhen mazmun-e-KHat
bola KHat paDh kar suna deta hai koi dusra
kis zaban mein man tumhein deti hain is KHat ka jawab
she hamesha write in urdu mujhe us ne kaha
kaise phir malum hota hai tumhein mazmun-e-KHat
bola mujh ko bhi suna deta hai paDh kar dusra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.