biwi aur patlun
begam se kahā ham ne jo fursat hai aap ko
patlūn meñ hamārī baTan ek Taañk do
ġhusse se bolīñ aap hī ḳhud Taañk leñ janāb
biivī kā jab mazāq uḌāte rahe haiñ aap
biivī baġhair aadmī hote nahīñ puure
maiñ na rahūñ to aap bhī rah jaa.eñ adhūre
yuuñ to baTan kā Tañknā chhoTā sā kaam hai
ye kaam bhī to lā.eq-e-sad-ehtirām hai
mardāngī kī shaan na itnī baghāriye
suuī meñ sirf dhāgā piro kar dikhā.e
patlūn meñ jo aap baTan ḳhud lagā.eñge
uñglī chubho ke suuī meñ ḳhuuñ meñ nahā.eñge
socho baTan baġhair jo patlūn pahante
patlūn phisaltī to kyā sab log na hañste
patlūn meñ tumhārī baTan kaun Tāñktī
duniyā meñ tum batāo jo aurat hī na hotī
ham ne kahā ki apnī baḌā.ī na hāñkiye
chhoTī sī hai ye baat na aage baḌhā.iye
patlūn meñ bas ek baTan Tāñkne kā thā
patlūn ko baTan meñ nahīñ Tāñkne kā thā
ġhusse ko thuuk diije merī baat māniye
khaa.ī meñ yuuñ bahas kī ḳhudārā na jhāñkiye
gar is bahas kā ḳhātma honā zarūr hai
jo baat sach hai aap ko sunñā zarūr hai
aurat agar na hotī to jannat hī meñ rahte
duniyā meñ aa ke is tarah dukh-dard na sahte
shādī byaah kā hameñ ḳhatra bhī na hotā
sirf ik baTan ko Tāñkne kā naḳhra bhī na hotā
biivī yā us kī bahan ho yā ho kisī kī saas
tum ho isī liye to pahante haiñ ham libās
mardoñ ko agar duniyā meñ aurat hī na hotī
patlūn pahanñe kī zarūrat hī na hotī
begam se kaha hum ne jo fursat hai aap ko
patlun mein hamari baTan ek Tank do
ghusse se bolin aap hi KHud Tank len janab
biwi ka jab mazaq uDate rahe hain aap
biwi baghair aadmi hote nahin pure
main na rahun to aap bhi rah jaen adhure
yun to baTan ka Tankna chhoTa sa kaam hai
ye kaam bhi to laeq-e-sad-ehtiram hai
mardangi ki shan na itni baghaariye
sui mein sirf dhaga piro kar dikhae
patlun mein jo aap baTan KHud lagaenge
ungli chubho ke sui mein KHun mein nahaenge
socho baTan baghair jo patlun pahante
patlun phisalti to kya sab log na hanste
patlun mein tumhaari baTan kaun Tankti
duniya mein tum batao jo aurat hi na hoti
hum ne kaha ki apni baDai na hankiye
chhoTi si hai ye baat na aage baDhaiye
patlun mein bas ek baTan Tankne ka tha
patlun ko baTan mein nahin Tankne ka tha
ghusse ko thuk dije meri baat maniye
khai mein yun bahas ki KHudara na jhankiye
gar is bahas ka KHatma hona zarur hai
jo baat sach hai aap ko sunna zarur hai
aurat agar na hoti to jannat hi mein rahte
duniya mein aa ke is tarah dukh-dard na sahte
shadi byah ka hamein KHatra bhi na hota
sirf ek baTan ko Tankne ka naKHra bhi na hota
biwi ya us ki bahan ho ya ho kisi ki sas
tum ho isi liye to pahante hain hum libas
mardon ko agar duniya mein aurat hi na hoti
patlun pahanne ki zarurat hi na hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.