Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

biwi ke huzur

Roohi Kanjahi

biwi ke huzur

Roohi Kanjahi

MORE BYRoohi Kanjahi

    ishq naas karogī mujhe ma.alūm na thā

    mere palle paḌogī mujhe ma.alūm na thā

    ik mahīne meñ kamātā huuñ jo tanḳhvāh use

    ḳharch hafte meñ karogī mujhe ma.alūm na thā

    maiñ ne khaa.ī thī qasam khā.ūñgā bas rizq-e-halāl

    tum bhī ahmaq kahogī mujhe ma.alūm na thā

    sher tarah sadā arz karūñgā ḳhud ko

    tum sadā hukm dogī mujhe ma.alūm na thā

    jo sunāogī sunūñgā maiñ hamesha lekin

    sher tak tum na sunogī mujhe ma.alūm na thā

    zindagī meñ mujhe dekhnā hogā ye din

    mujh ko marhūm likhogī mujhe ma.alūm na thā

    saarī daf.āt ho jā.eñgī laagū mujh par

    itne ilzām dharogī mujhe ma.alūm na thā

    iid ke din bhī vahī jañg naqsha hogā

    iid ke din bhī laḌogī mujhe ma.alūm na thā

    saḳht-jānī meñ bhī niklogī misālī ya.anī

    maar kar mujh ko marogī mujhe ma.alūm na thā

    pata hotā to na kartā kabhī koī nekī

    tumhīñ jannat meñ milogī mujhe ma.alūm na thā

    ishq ka nas karogi mujhe malum na tha

    mere palle hi paDogi mujhe malum na tha

    ek mahine mein kamata hun jo tanKHwah use

    KHarch hafte mein karogi mujhe malum na tha

    main ne khai thi qasam khaunga bas rizq-e-halal

    tum bhi ahmaq hi kahogi mujhe malum na tha

    sher ki tarah sada arz karunga KHud ko

    tum sada hukm hi dogi mujhe malum na tha

    jo sunaogi sununga main hamesha lekin

    sher tak tum na sunogi mujhe malum na tha

    zindagi hi mein mujhe dekhna hoga ye din

    mujh ko marhum likhogi mujhe malum na tha

    sari dafat hi ho jaengi lagu mujh par

    itne ilzam dharogi mujhe malum na tha

    id ke din bhi wahi jang ka naqsha hoga

    id ke din bhi laDogi mujhe malum na tha

    saKHt-jaani mein bhi niklogi misali yani

    mar kar mujh ko marogi mujhe malum na tha

    pata hota to na karta kabhi koi neki

    tumhin jannat mein milogi mujhe malum na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now