biwi salwaten sunae to ghazal hoti hai
biivī salvāteñ sunā.e to ġhazal hotī hai
koī jab jaan ko aa.e to ġhazal hotī hai
ham pe tanqīd jo karte haiñ zarā un ko bhī
koī do haath lagā.e to ġhazal hotī hai
daal roTī se pareshān haiñ hujre ke makīn
maulvī murġh churā.e to ġhazal hotī hai
biivī ko dekhte hī qāfiya kho jaatā hai
chhoTī saalī nazar aa.e to ġhazal hotī hai
biwi salwaten sunae to ghazal hoti hai
koi jab jaan ko aae to ghazal hoti hai
hum pe tanqid jo karte hain zara un ko bhi
koi do hath lagae to ghazal hoti hai
dal roTi se pareshan hain hujre ke makin
maulwi murgh churae to ghazal hoti hai
biwi ko dekhte hi qafiya kho jata hai
chhoTi sali nazar aae to ghazal hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.