boycott ki jab uske kahin tarif hoti hai
boy-cut kī jab us ke kahīñ tā'rīf hotī hai
to zulfoñ ke asīroñ ko baḌī taklīf hotī hai
agar daftar meñ aa jaa.e koī īmān-dār afsar
to phir murda zamīroñ ko baḌī taklīf hotī hai
vo jis din ban sañvar kar apnī khiḌkī meñ nahīñ aatī
qasam se rāhgīroñ ko baḌī taklīf hotī hai
agar kar le vo apnī bhābhiyoñ se thoḌī muñh-mārī
mirī biivī ke vīroñ ko baḌī taklīf hotī hai
koī achchhī vazārat gar kisī member ko mil jaa.e
to baaqī ke vazīroñ ko baḌī taklīf hotī hai
nahīñ phañstā kisī din jab koī tagḌā ‘aqīdat-mañd
ka.ī pīroñ-faqīroñ ko baḌī taklīf hotī hai
boy-cut ki jab us ke kahin ta'rif hoti hai
to zulfon ke asiron ko baDi taklif hoti hai
agar daftar mein aa jae koi iman-dar afsar
to phir murda zamiron ko baDi taklif hoti hai
wo jis din ban sanwar kar apni khiDki mein nahin aati
qasam se rahgiron ko baDi taklif hoti hai
agar kar le wo apni bhabhiyon se thoDi munh-mari
meri biwi ke wiron ko baDi taklif hoti hai
koi achchhi wazarat gar kisi member ko mil jae
to baqi ke waziron ko baDi taklif hoti hai
nahin phansta kisi din jab koi tagDa ‘aqidat-mand
kai piron-faqiron ko baDi taklif hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.