bu-ali-sina ka sani
kisī meñ yak-ba-yak hotā hai kab aisā hunar paidā
ki ik golī ke khāne se shikam meñ hoñ bhañvar paidā
munādī ne nidā dī shahr ke har ek kūche meñ
ki tib kī saltanat kā ho gayā hai tājvar paidā
matab khulte hī aḳhbārāt meñ ye ishtihār aayā
huā hai bū-alī-sīnā kī sūrat dīda-var paidā
vo jab bīmār ko chamcha davā.ī kā pilātā hai
badan meñ us ke hote haiñ sharar-andar-sharar paidā
samundar meñ use ġhota lagāne kī nahīñ hājat
vo paanī bech ke kar letā hai la.al-o-gohar paidā
davā.eñ us kī khāne kī faqat do hī natīje haiñ
kabhī dard-e-kamar paidā kabhī zo.af-e-jigar paidā
marīzoñ ko musalsal maar ke ye mujh se farmāyā
ki ḳhūn-e-sad-hazār anjum se hotī hai sahar paidā
kisi mein yak-ba-yak hota hai kab aisa hunar paida
ki ek goli ke khane se shikam mein hon bhanwar paida
munadi ne nida di shahr ke har ek kuche mein
ki tib ki saltanat ka ho gaya hai tajwar paida
matab khulte hi aKHbaraat mein ye ishtihaar aaya
hua hai bu-ali-sina ki surat dida-war paida
wo jab bimar ko chamcha dawai ka pilata hai
badan mein us ke hote hain sharar-andar-sharar paida
samundar mein use ghota lagane ki nahin hajat
wo pani bech ke kar leta hai lal-o-gohar paida
dawaen us ki khane ki faqat do hi natije hain
kabhi dard-e-kamar paida kabhi zoaf-e-jigar paida
marizon ko musalsal mar ke ye mujh se farmaya
ki KHun-e-sad-hazar anjum se hoti hai sahar paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.