chana jor garam
dekhiye aaj kā aḳhbār chanā jor garam
tez election kā hai bāzār chanā jor garam
aa ga.e qaum ke ġham-ḳhvār chanā jor garam
lag gayā va.adoñ kā ambār chanā jor garam
ḳhuub khul khelne kā mausam-e-rañgīñ aayā
pāñch barsoñ kā hai bevhār chanā jor garam
ghar se bāhar jo nikaliye to har ik nukkaḌ par
suniye taqrīr dhuāñ-dhār chanā jor garam
muḳhtalif qism ke na.aroñ se galī kūchoñ ke
gūñjte haiñ dar-o-dīvār chanā jor garam
ḳhvāncha sar pe liye chīḳh rahā hai har dil
hai mirā sab se mazedār chanā jor garam
dal-badal jitne haiñ kahte haiñ ye siina taane
ham haiñ 'ġhālib' ke taraf-dār chanā jor garam
note jo degā usī samt ye jhuk jā.egā
apnā īmāñ hai lachak-dār chanā jor garam
banda-o-sāhab-o-muhtāj-o-ġhanī ek hue
hai ajab vote kā byopār chanā jor garam
ik pur-āshob zamāne kī hai aamad aamad
haiñ bure vaqt ke āsār chanā jor garam
kal jo qātil the vahī aa.e masīhā ban kar
rahiye in logoñ se hushyār chanā jor garam
aah jantā kā muqaddar nahīñ badlegā kabhī
bane jis dal kī bhī sarkār chanā jor garam
is election ke zamāne meñ bhī tū ne 'asrār'
kyā khilā.e gul-e-ash.ār chanā jor garam
dekhiye aaj ka aKHbar chana jor garam
tez election ka hai bazar chana jor garam
aa gae qaum ke gham-KHwar chana jor garam
lag gaya wadon ka ambar chana jor garam
KHub khul khelne ka mausam-e-rangin aaya
panch barson ka hai bewhaar chana jor garam
ghar se bahar jo nikaliye to har ek nukkaD par
suniye taqrir dhuan-dhaar chana jor garam
muKHtalif qism ke naron se gali kuchon ke
gunjte hain dar-o-diwar chana jor garam
KHwancha sar pe liye chiKH raha hai har dil
hai mera sab se mazedar chana jor garam
dal-badal jitne hain kahte hain ye sina tane
hum hain 'ghaalib' ke taraf-dar chana jor garam
note jo dega usi samt ye jhuk jaega
apna iman hai lachak-dar chana jor garam
banda-o-sahab-o-muhtaj-o-ghani ek hue
hai ajab wote ka byopar chana jor garam
ek pur-ashob zamane ki hai aamad aamad
hain bure waqt ke aasar chana jor garam
kal jo qatil the wahi aae masiha ban kar
rahiye in logon se hushyar chana jor garam
aah janta ka muqaddar nahin badlega kabhi
bane jis dal ki bhi sarkar chana jor garam
is election ke zamane mein bhi tu ne 'asrar'
kya khilae gul-e-ashaar chana jor garam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.